qatra qatra tishnagi
kuñvāre khet merī ḳhvāhishoñ ke
tishnagī kī dhuup meñ
jalte haiñ
siim aur thuur māyūsī ke
kaale qahr kī sūrat
lahū kā ek ik qatra
ragoñ se chūste jaate haiñ
piile mausamoñ kī chup
banī hai bhaag kī rekhā
ki sadiyoñ se paḌā hai qaht gītoñ kā
jo fasl kaTte vaqt gaatī haiñ
thiraktī nāchtī
bastī kī bālā.eñ
yahāñ sadiyoñ se barkhā-rut ko
jīvan kā har ik lamha
tarastā hai
yahāñ khetoñ ke lab kī papḌiyoñ par
tishnagī kā
qatra qatra bas Tapaktā hai
kunware khet meri KHwahishon ke
tishnagi ki dhup mein
jalte hain
sim aur thur mayusi ke
kale qahr ki surat
lahu ka ek ek qatra
ragon se chuste jate hain
pile mausamon ki chup
bani hai bhag ki rekha
ki sadiyon se paDa hai qaht giton ka
jo fasl kaTte waqt gati hain
thirakti nachti
basti ki baalaen
yahan sadiyon se barkha-rut ko
jiwan ka har ek lamha
tarasta hai
yahan kheton ke lab ki papDiyon par
tishnagi ka
qatra qatra bas Tapakta hai
- Book : AURAAQ (Pg. 41)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.