Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaumi jhanDa

Masooda Hayat

qaumi jhanDa

Masooda Hayat

MORE BYMasooda Hayat

    jantā armān hai jhanDā

    āzādī jaan hai jhanDā

    bhārat pahchān hai jhanDā

    is azmat ke gun gaao

    aur bhī is shaan baḌhāo

    is se jitne rang ayaañ haiñ

    sab apnī manzil ke nishāñ haiñ

    is meñ kitne raaz nihāñ haiñ

    is azmat ke gun gaao

    aur bhī is shaan baḌhāo

    jhanDā tauqīr-e-vatan hai

    jhanDā tasvīr-e-vatan hai

    jhanDā taqdīr-e-vatan hai

    is azmat ke gun gaao

    aur bhī is shaan baḌhāo

    is lahreñ aañkh til haiñ

    ye sāgar hai ham sāhil haiñ

    is par qurbāñ jān-o-dil haiñ

    is azmat ke gun gaao

    aur bhī is shaan baḌhāo

    janta ka arman hai jhanDa

    aazadi ki jaan hai jhanDa

    bhaarat ki pahchan hai jhanDa

    is ki azmat ke gun gao

    aur bhi is ki shan baDhao

    is se jitne rang ayan hain

    sab apni manzil ke nishan hain

    is mein kitne raaz nihan hain

    is ki azmat ke gun gao

    aur bhi is ki shan baDhao

    jhanDa hi tauqir-e-watan hai

    jhanDa hi taswir-e-watan hai

    jhanDa hi taqdir-e-watan hai

    is ki azmat ke gun gao

    aur bhi is ki shan baDhao

    is ki lahren aankh ka til hain

    ye sagar hai hum sahil hain

    is par qurban jaan-o-dil hain

    is ki azmat ke gun gao

    aur bhi is ki shan baDhao

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now