qaumi tarana
pyārā hindustān hamārā pyārā hindostān
jaan fidā hai is par apnī dil is par qurbān
mulk nahīñ ye hai jannat kā dilkash ek makān
pyārā hindustān hamārā pyārā hindostān
pyāre pyāre dariyā is ke pyārī pyārī nahreñ
pyāre pyāre chashme is ke pyārī pyārī lahreñ
pyāre pyāre manzar pyārī pyārī is kī shaan
pyārā hindustān hamārā pyārā hindustān
pyārī khetī-bāḌī pyārī pyārī paidāvār
pyārī pyārī āb-o-havā hai pyārī is kī bahār
dil meñ hamāre rahtā hai har vaqt isī kā dhyān
pyārā hindustān hamārā pyārā hindustān
pyārā pyārā din hai is kā pyārī pyārī raat
pyārā shām-o-sahar kā jalva pyārī har ik baat
pyāre pyāre nazzāroñ kī pyārī pyārī kaan
pyārā hindustān hamārā pyārā hindustān
pyāre phal pyārī tarkārī pyāre is ke phuul
pyāre aam aur jāmun is ke pyāre niim babūl
pyāre ġhalle pyāre meve pyāre pyāre dhaan
pyārā hindustān hamārā pyārā hindostān
pyārī garmī pyārī sardī pyārī har barsāt
pyārī har har baat hai is kī pyārī har har ghaat
pyārī hai har ik adā pyārā har ek nishān
pyārā hindustān hamārā pyārā hindustān
'iqbāl' aur 'tagore' se shā.ir p-c-re se fāzil
v-c-rāman shaah sulaimāñ j-c-bos se kāmil
'gāñdhī' aur 'jinnāh' se leader 'zākir' se vidvān
pyārā hindustān hamārā pyārā hindustān
'jauhar' 'ansārī' 'ajmal' 'āzād' 'javāhar-lāl'
'dādā-bhā.ī' 'dās' 'tilak' 'gokhel' se nek-ḳhisāl
pyara hindustan hamara pyara hindostan
jaan fida hai is par apni dil is par qurban
mulk nahin ye hai jannat ka dilkash ek makan
pyara hindustan hamara pyara hindostan
pyare pyare dariya is ke pyari pyari nahren
pyare pyare chashme is ke pyari pyari lahren
pyare pyare manzar pyari pyari is ki shan
pyara hindustan hamara pyara hindustan
pyari kheti-baDi pyari pyari paidawar
pyari pyari aab-o-hawa hai pyari is ki bahaar
dil mein hamare rahta hai har waqt isi ka dhyan
pyara hindustan hamara pyara hindustan
pyara pyara din hai is ka pyari pyari raat
pyara sham-o-sahar ka jalwa pyari har ek baat
pyare pyare nazzaron ki pyari pyari kan
pyara hindustan hamara pyara hindustan
pyare phal pyari tarkari pyare is ke phul
pyare aam aur jamun is ke pyare nim babul
pyare ghalle pyare mewe pyare pyare dhan
pyara hindustan hamara pyara hindostan
pyari garmi pyari sardi pyari har barsat
pyari har har baat hai is ki pyari har har ghat
pyari hai har ek ada pyara har ek nishan
pyara hindustan hamara pyara hindustan
'iqbaal' aur 'tagore' se shair p-c-re se fazil
w-c-raman shah sulaiman j-c-bos se kaamil
'gandhi' aur 'jinnah' se leader 'zakir' se widwan
pyara hindustan hamara pyara hindustan
'jauhar' 'ansari' 'ajmal' 'azad' 'jawahar-lal'
'dada-bhai' 'das' 'tilak' 'gokhel' se nek-KHisal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.