Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaumi yak-jehti

Nida Fazli

qaumi yak-jehti

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    vo tavā.if

    ka.ī mardoñ ko pahchāntī hai

    shāyad isī liye

    duniyā ko ziyāda jāntī hai

    us ke kamre meñ

    har maz.hab ke bhagvān ek ek tasvīr laTkī hai

    ye tasvīreñ

    leaderoñ taqrīroñ tarah numā.ishī nahīñ

    us darvāza

    raat ga.e tak

    hindū

    muslim

    sikh

    īsā.ī

    har maz.hab ke aadmī ke liye khulā rahtā hai

    ḳhudā jaane

    us ke kamre kushādgī

    masjid aur mandir ke āñganoñ meñ kab paidā hogī

    wo tawaif

    kai mardon ko pahchanti hai

    shayad isi liye

    duniya ko ziyaada jaanti hai

    us ke kamre mein

    har mazhab ke bhagwan ki ek ek taswir laTki hai

    ye taswiren

    leaderon ki taqriron ki tarah numaishi nahin

    us ka darwaza

    raat gae tak

    hindu

    muslim

    sikh

    isai

    har mazhab ke aadmi ke liye khula rahta hai

    KHuda jaane

    us ke kamre ki si kushadgi

    masjid aur mandir ke aanganon mein kab paida hogi

    Source :
    • Book : Shaher Men Gaon (Pg. 341)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now