Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaumon ke liye maut hai markaz se judai

Allama Iqbal

qaumon ke liye maut hai markaz se judai

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Mahrab Gul Afghan ke Afkar) (Zarb-e-Kaliim)

    qaumoñ ke liye maut hai markaz se judā.ī

    ho sāhib-e-markaz to ḳhudī kyā hai ḳhudā.ī

    jo faqr huā talḳhī-e-daurāñ gila-mand

    is faqr meñ baaqī hai abhī bū-e-gadā.ī

    is daur meñ bhī mard-e-ḳhudā ko hai mayassar

    jo mo'jiza parbat ko banā saktā hai raa.ī

    dar-mā'raka be-soz-e-tū zauqe na-tavāñ yaaft

    ai banda-e-momin kujā.ī kujā.ī

    ḳhurshīd sirā parda-e-mashriq se nikal kar

    pahnā mire kohsār ko malbūs-e-hinā.ī

    qaumon ke liye maut hai markaz se judai

    ho sahib-e-markaz to KHudi kya hai KHudai

    jo faqr hua talKHi-e-dauran ka gila-mand

    is faqr mein baqi hai abhi bu-e-gadai

    is daur mein bhi mard-e-KHuda ko hai mayassar

    jo mo'jiza parbat ko bana sakta hai rai

    dar-ma'raka be-soz-e-tu zauqe na-tawan yaft

    ai banda-e-momin tu kujai tu kujai

    KHurshid sira parda-e-mashriq se nikal kar

    pahna mere kohsar ko malbus-e-hinai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now