qaus-e-quzah
khiñchī hai qaus-e-quzah āsmān par sar-e-shām!
ajiib kaif sā hai hairat-e-nazar meñ nihāñ!
ajiib kaif sā jinsī bhī māvarā.ī bhī
chhalakte jism kī golā.iyoñ kā raaz hai kyaa!
aur us meñ ruuh kī rañgīn dhāriyoñ kā fusūñ!?
latīf sat.h-e-tafakkur pe khoyā khoyā sā
ubhar rahā hai ye pur-karb o pur-surūr savāl
ye saat rañg kī lahreñ ye dā.ere kī kamān!
khinchi hai qaus-e-quzah aasman par sar-e-sham!
ajib kaif sa hai hairat-e-nazar mein nihan!
ajib kaif sa jinsi bhi mawarai bhi
chhalakte jism ki golaiyon ka raaz hai kya!
aur us mein ruh ki rangin dhaariyon ka fusun!?
latif sath-e-tafakkur pe khoya khoya sa
ubhar raha hai ye pur-karb o pur-surur sawal
ye sat rang ki lahren ye daere ki kaman!
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.