qaus-e-quzah
mujhe
hosh kab thā ki
ye merī ḳhushiyāñ
ġhamoñ ke falak par haiñ
barsāt meñ
ek qaus-e-quzah
jhapakte hī āñkheñ sabhī rañg ġhā.eb
aur ab jab ki
qaus-e-quzah miT chukī hai
har ik samt se
ek ik kar ke bādal
ġham-ālūd bādal
chale aa rahe haiñ
ḳhudā jaane maiñ kyoñ
pareshāñ nahīñ huuñ
ye kyā mājrā hai
mujhe
hosh kab tha ki
ye meri KHushiyan
ghamon ke falak par hain
barsat mein
ek qaus-e-quzah
jhapakte hi aankhen sabhi rang ghaeb
aur ab jab ki
qaus-e-quzah miT chuki hai
har ek samt se
ek ek kar ke baadal
gham-alud baadal
chale aa rahe hain
KHuda jaane main kyon
pareshan nahin hun
ye kya majra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.