qaus-e-quzah
thī shaam qarīb aur dahqāñ
maidāñ meñ thā galle kā nigahbāñ
dekhī us ne kamān nāgāh
jo kartī hai meñh se ham ko āgāh
rañgat meñ use ajiib paayā
zāhir meñ bahut qarīb paayā
pahle se vo sun chukā thā akasr
hai qaus meñ ik piyāla-e-zar
mash.hūr bahut hai ye kahānī
afsāna-tarāsh kī zabānī
miltī hai jahāñ kamāñ zamīñ se
miltā hai vo jām-e-zar vahīñ se
sochā lo jaam aur banū jam
chhoḌo buzū go safand kā ġham
behūda gañvār is gumāñ par
sīdhā gayā tiir sā kamāñ par
din ghaTne lagā qadam baḌhāyā
ummīd ki ab ḳhazāna paayā
jitnī koshish ziyāda-tar kī
utnī hī kamāñ pare ko sarkī
pinhāñ huī qaus āḳhir-e-kār
aur zulmat-e-shab huī numūdār
nākām phir vo saada dahqāñ
hasrat-zada ġham-zada pashemāñ
thi sham qarib aur dahqan
maidan mein tha galle ka nigahban
dekhi us ne kaman nagah
jo karti hai meinh se hum ko aagah
rangat mein use ajib paya
zahir mein bahut qarib paya
pahle se wo sun chuka tha akasr
hai qaus mein ek piyala-e-zar
mashhur bahut hai ye kahani
afsana-tarash ki zabani
milti hai jahan kaman zamin se
milta hai wo jam-e-zar wahin se
socha lo jam aur banu jam
chhoDo buzu go safand ka gham
behuda ganwar is guman par
sidha gaya tir sa kaman par
din ghaTne laga qadam baDhaya
ummid ki ab KHazana paya
jitni koshish ziyaada-tar ki
utni hi kaman pare ko sarki
pinhan hui qaus aaKHir-e-kar
aur zulmat-e-shab hui numudar
nakaam phir wo sada dahqan
hasrat-zada gham-zada pasheman
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.