Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qawwali

MORE BYMushtaq Ahmad Noori

    sabaq bas khelne khāne jis ko yaad hotā hai

    baḌā ho kar vo laḌkā ek din ustād hotā hai

    na aa.e master jis din paḌhāne mere darje meñ

    zarā der ko us din merā dil shaad hotā hai

    jo maulā-baḳhsh se vo pīTte haiñ mujh ko maktab meñ

    koī samjhā.e un ko vaqt bhī barbād hotā hai

    banāyā jaatā huuñ murġhā maiñ jis din apne maktab meñ

    to us din dard se ye dil bahut nāshād hotā hai

    samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki maqsad kyā hai paḌhne

    maza bhī kuchh nahīñ hai vaqt bhī barbād hotā hai

    ḳhudā ke fazl se jis din buḳhār aatā hai teacher ko

    to us din apnā maktab bhī bahut ābād hotā hai

    jo halva rakh ke almārī meñ aapī band kartī haiñ

    khilātī haiñ na khātī haiñ paḌā barbād hotā hai

    agar hoñ mehrbāñ teacher to tum dekhoge ai 'nūrī'

    sabaq jis ko nahīñ ho yaad vo bhī shaad hotā hai

    sabaq bas khelne khane ka jis ko yaad hota hai

    baDa ho kar wo laDka ek din ustad hota hai

    na aae master jis din paDhane mere darje mein

    zara si der ko us din mera dil shad hota hai

    jo maula-baKHsh se wo piTte hain mujh ko maktab mein

    koi samjhae un ko waqt bhi barbaad hota hai

    banaya jata hun murgha main jis din apne maktab mein

    to us din dard se ye dil bahut nashad hota hai

    samajh mein kuchh nahin aata ki maqsad kya hai paDhne ka

    maza bhi kuchh nahin hai waqt bhi barbaad hota hai

    KHuda ke fazl se jis din buKHar aata hai teacher ko

    to us din apna maktab bhi bahut aabaad hota hai

    jo halwa rakh ke almari mein aapi band karti hain

    khilati hain na khati hain paDa barbaad hota hai

    agar hon mehrban teacher to tum dekhoge ai 'nuri'

    sabaq jis ko nahin ho yaad wo bhi shad hota hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now