qayamat
chalo ik raat to guzrī
chalo saffāk zulmat ke badan kā ek TukḌā to kaTā
aur vaqt kī be-intihā.ī ke samundar meñ
koī tābūt girne kī sadā aa.ī
ye maanā raat āñkhoñ meñ kaTī
ek ek pal but sā ban kar jam gayā
ik saañs to ik sadī ke baad phir se saañs lene kā ḳhayāl aayā
ye sab sach hai ki raat ik karb-e-be-pāyāñ thī
lekin karb hī taḳhlīq hai
ai pau phaTe ke dilrubā lamho gavāhī do
yūñhī kaTtī chalī jā.eñgī rāteñ
aur phir vo āftāb ubhregā
jo apnī shuāoñ se abad ko raushnī baḳhshegā
phir koī añdherī dhartī ko na chhū pā.egā
dānāyān-e-maz.hab ke mutābiq hashr aa jā.egā
lekin hashr bhī ik karb hai
har karb ik taḳhlīq hai
ai pau phaTe ke dilrubā lamho gavāhī do
chalo ek raat to guzri
chalo saffak zulmat ke badan ka ek TukDa to kaTa
aur waqt ki be-intihai ke samundar mein
koi tabut girne ki sada aai
ye mana raat aankhon mein kaTi
ek ek pal but sa ban kar jam gaya
ek sans to ek sadi ke baad phir se sans lene ka KHayal aaya
ye sab sach hai ki raat ek karb-e-be-payan thi
lekin karb hi taKHliq hai
ai pau phaTe ke dilruba lamho gawahi do
yunhi kaTti chali jaengi raaten
aur phir wo aaftab ubhrega
jo apni shuaon se abad ko raushni baKHshega
phir koi andheri dharti ko na chhu paega
danayan-e-mazhab ke mutabiq hashr aa jaega
lekin hashr bhi ek karb hai
har karb ek taKHliq hai
ai pau phaTe ke dilruba lamho gawahi do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.