qaza nahin hona tujhe
lauh kā rāsta, dhuup ke shāmiyānoñ se Dhāñpā huā
ajnabī ajnabī chaap suntā rahaa... saath chaltā rahā
aur phir ek din... das moharram kī āñkhoñ se niklā huā
ik sunahrī kañval
yuuñ uchhālā ufaq kī shafaq jhiil meñ...
shaam ke vaqt ne
jaise iblīs sikka koī
pheñk de rahm-e-tārīḳh ke surḳh kashkol meñ
āsmāñ ruk gayaa... ruk gayā āsmāñ
so gayā ijtimā.ī lahad meñ kahīñ zindagī kā damishq
maiñ ne sochā ki aise meñ bahtā nahīñ
ashk-e-āb-e-furāt
rāsta rok pahle... paḌāv ke ḳheme lagā
aur phir shaam kī bāz-gashtoñ meñ bahtī azaañ
mujh se kahne lagī
vaqt ko zaa.e karnā gunāh-e-kabīra se bhī baḌh ke hai
qibla-rū ho ke labbaik maiñ ne kahā
koī shah-e-rag ke andar se kahne lagā
ki namāzeñ qazā lauT saktī haiñ lekin qazā sā.ateñ
lauT saktī nahīñ!
lauh ka rasta, dhup ke shamiyanon se Dhanpa hua
ajnabi ajnabi chap sunta raha sath chalta raha
aur phir ek din das moharram ki aankhon se nikla hua
ek sunahri kanwal
yun uchhaala ufaq ki shafaq jhil mein
sham ke waqt ne
jaise iblis sikka koi
phenk de rahm-e-tariKH ke surKH kashkol mein
aasman ruk gaya ruk gaya aasman
so gaya ijtimai lahad mein kahin zindagi ka damishq
main ne socha ki aise mein bahta nahin
ashk-e-ab-e-furaat
rasta rok pahle paDaw ke KHeme laga
aur phir sham ki baz-gashton mein bahti azan
mujh se kahne lagi
waqt ko zae karna gunah-e-kabira se bhi baDh ke hai
qibla-ru ho ke labbaik main ne kaha
koi shah-e-rag ke andar se kahne laga
ki namazen qaza lauT sakti hain lekin qaza saaten
lauT sakti nahin!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 365)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.