qissa-e-chahaar-KHwab
avval
halqa-e-yārāñ meñ kan.āñ raat ke pichhle pahar
bastiyoñ se duur nahroñ ke kināre ḳhema-zan
vo daraḳhtoñ kī havāoñ meñ sitāre ḳhema-zan
bastiyoñ se duur sahrā ke nazāre ḳhema-zan
halqa-e-yārāñ meñ kitne nāznīñ nāzuk kamar
dom
raqs ke hañgām kitne bāzuoñ kā pech-o-ḳham
dekhne vāloñ kī nazroñ meñ utar aane ko hai
ye badan kā loch jaise ruuh bal khāne ko hai
ye nazar ke sāmne kitne hī aalam ḳhvāb se
raqs ke hañgām ubhar aate haiñ kitne shoḳh rañg
aur kitne tez ho jaate haiñ nazroñ ke ḳhadañg
ye ḳhayāloñ ke gulistāñ ye nigāhoñ ke qafas
raqs ke ye dā.ere shola-ba-dāmāñ har nafas
soyam
rasm adā hone na paa.ī thī ki ḳhemoñ ke qarīb
shah-nashīñ kī samt dauḌe is tarah vahshī naqīb
kitne armāñ kitne ġham ashkoñ meñ Dhal kar rah ga.e
ain jashn-e-rasm ke hañgām kan.āñ kā gurez
kitne manzar āriz-o-lab ke pighal kar rah ga.e
kitne lab hasrat-chashīda kitnī āñkheñ ashk-rez
jaise sāġhar aa.eñ hāthoñ meñ magar TuuTe hue
chheḌiyo mat zindagī ke bāl-o-par TuuTe hue
taar haiñ is saaz ke ai naġhma-gar TuuTe hue
chahārum
ye qabīloñ ke shuyūḳh-e-puḳhta-umr o saḳht-kosh
vādī-e-dajla ke shahrī kurd ke ḳhāna-ba-dosh
laḌ rahe haiñ apnī apnī kaj-kulāhī ke liye
kaun daarū ban ke aa.e kam-nigāhī ke liye
garmi-e-guftār se mumkin nahīñ dil kā rafū
guftugū se aur baḌh jaatā hai josh-e-guftugū
awwal
halqa-e-yaran mein kanan raat ke pichhle pahar
bastiyon se dur nahron ke kinare KHema-zan
wo daraKHton ki hawaon mein sitare KHema-zan
bastiyon se dur sahra ke nazare KHema-zan
halqa-e-yaran mein kitne naznin nazuk kamar
dom
raqs ke hangam kitne bazuon ka pech-o-KHam
dekhne walon ki nazron mein utar aane ko hai
ye badan ka loch jaise ruh bal khane ko hai
ye nazar ke samne kitne hi aalam KHwab se
raqs ke hangam ubhar aate hain kitne shoKH rang
aur kitne tez ho jate hain nazron ke KHadang
ye KHayalon ke gulistan ye nigahon ke qafas
raqs ke ye daere shola-ba-daman har nafas
soyam
rasm ada hone na pai thi ki KHemon ke qarib
shah-nashin ki samt dauDe is tarah wahshi naqib
kitne arman kitne gham ashkon mein Dhal kar rah gae
ain jashn-e-rasm ke hangam kanan ka gurez
kitne manzar aariz-o-lab ke pighal kar rah gae
kitne lab hasrat-chashida kitni aankhen ashk-rez
jaise saghar aaen hathon mein magar TuTe hue
chheDiyo mat zindagi ke baal-o-par TuTe hue
tar hain is saz ke ai naghma-gar TuTe hue
chahaarum
ye qabilon ke shuyuKH-e-puKHta-umr o saKHt-kosh
wadi-e-dajla ke shahri kurd ke KHana-ba-dosh
laD rahe hain apni apni kaj-kulahi ke liye
kaun daru ban ke aae kam-nigahi ke liye
garmi-e-guftar se mumkin nahin dil ka rafu
guftugu se aur baDh jata hai josh-e-guftugu
- Book : khvaab numaa (Pg. 13)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.