qissa-go
vahī qissa-go
jo ik roz qissa sunāte sunāte
kisī pyaas ko yaad kartā huaa,
uTh gayā thā
phir ik roz logoñ se ye bhī sunā thā
ki vo,
pyaas hī pyaas kī raT lagātā huā
ik kueñ meñ girā thā
idhar kuchh dinoñ se
ye afvāh gardish meñ hai
ki vo qissa-go
jise bhī dikhā.ī diyā hai
vo bas!
pyaas hī pyaas kī raT lagātā huā
kueñ kī taraf jā rahā hai
wahi qissa-go
jo ek roz qissa sunate sunate
kisi pyas ko yaad karta hua,
uTh gaya tha
phir ek roz logon se ye bhi suna tha
ki wo,
pyas hi pyas ki raT lagata hua
ek kuen mein gira tha
idhar kuchh dinon se
ye afwah gardish mein hai
ki wo qissa-go
jise bhi dikhai diya hai
wo bas!
pyas hi pyas ki raT lagata hua
kuen ki taraf ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.