qissa gul-baadshah ka
naam merā hai gul-bādshāh
umr merī hai terah baras
aur kahānī
merī umar kī tarah se muntashir muntashir
muḳhtasar muḳhtasar
merī be-nām be-chehra maañ
be-davā mar ga.ī
baap ne us ko burqe meñ dafnā diyā
us ko Dar thā ki munkir-nakīr
merī ammāñ kā chehra na dekheñ
vaise zinda thii, jab bhī vo madfūn thī
baap kā naam zar-tāj-gul
umar battīs baras
vo mujāhid shahādat kā tālib rāh-e-haq kā musāfir huā
aur jām-e-shahādat bhī us ne
apne bhaa.ī ke hāthoñ piyā
jo shumālī mujāhid thā
aur panj-vaqta namāzī bhī thā
mas.ala is shahādat kā pechīda hai
is ko behtar yahī hai yahīñ chhoḌ deñ
ab bahar-hāl baabā to jannat meñ hai
us ke hāthoñ meñ jām-e-tuhūr
us kī bāñhoñ meñ huur o qusūr
merī taqdīr meñ bam-dhamāke dhuāñ
pighaltī huī ye zamīn
bikhartā huā āsmāñ
bād-az-marg vo zinda hai
zindagī mujh se sharminda hai
2
kal sar-e-shām dushman ne aate hue
bam ke hamrāh barsā diye
mujh pe kuchh piile thaile
jin se mujh ko mile
gol roTī ke TukḌe
ek makkhan kī Tikiyā
ek sharbat kī botal
murabbe kā Dabbā
is ke badle meñ vo le ga.e
mere bhaa.ī kā dast-e-mashaqqat
jis meñ minnat kā Dorā bañdhā thā
merī chhoTī bahan kā vo paañv
jis se rañg-e-hinā phūTtā thā
log kahte haiñ ye amn kī jañg hai
amn kī jañg meñ hamla-āvar
sirf bachchoñ ko be-dast-o-pā chhoḌte haiñ
un ko bhūkā nahīñ chhoḌte
āḳhir insāniyat bhī koī chiiz hai
maiñ dahakte pahāḌoñ meñ tanhā
apne tarke kī bandūq thāme khaḌā huuñ
tamāshā-e-ahl-e-karam dekhtā thā
tamāshā-e-ahl-e-karam dekhtā huuñ
nam mera hai gul-baadshah
umr meri hai terah baras
aur kahani
meri umar ki tarah se muntashir muntashir
muKHtasar muKHtasar
meri be-nam be-chehra man
be-dawa mar gai
bap ne us ko burqe mein dafna diya
us ko Dar tha ki munkir-nakir
meri amman ka chehra na dekhen
waise zinda thi, jab bhi wo madfun thi
bap ka nam zar-taj-gul
umar battis baras
wo mujahid shahadat ka talib rah-e-haq ka musafir hua
aur jam-e-shahadat bhi us ne
apne bhai ke hathon piya
jo shumali mujahid tha
aur panj-waqta namazi bhi tha
masala is shahadat ka pechida hai
is ko behtar yahi hai yahin chhoD den
ab bahar-haal baba to jannat mein hai
us ke hathon mein jam-e-tuhur
us ki banhon mein hur o qusur
meri taqdir mein bam-dhamake dhuan
pighalti hui ye zamin
bikharta hua aasman
baad-az-marg wo zinda hai
zindagi mujh se sharminda hai
2
kal sar-e-sham dushman ne aate hue
bam ke hamrah barsa diye
mujh pe kuchh pile thaile
jin se mujh ko mile
gol roTi ke TukDe
ek makkhan ki Tikiya
ek sharbat ki botal
murabbe ka Dabba
is ke badle mein wo le gae
mere bhai ka dast-e-mashaqqat
jis mein minnat ka Dora bandha tha
meri chhoTi bahan ka wo panw
jis se rang-e-hina phuTta tha
log kahte hain ye amn ki jang hai
amn ki jang mein hamla-awar
sirf bachchon ko be-dast-o-pa chhoDte hain
un ko bhuka nahin chhoDte
aaKHir insaniyat bhi koi chiz hai
main dahakte pahaDon mein tanha
apne tarke ki banduq thame khaDa hun
tamasha-e-ahl-e-karam dekhta tha
tamasha-e-ahl-e-karam dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.