sun ke bhī chup hī rahā
talḳh bāteñ mushk-bār afġhānī qahve ke
rasīle ghūñT meñ ghul-mil ga.iiñ
ye haqīqat aur thī ki baap daadā qissa-go mash.hūr the
is liye vo chup rahā
tārīḳh ke naqshe meñ
jin shahroñ kī shohrat gūñjtī hai
vo ḳhamoshī ke is azlī rañg se zāhir hue
jis se shanāsā.ī nahīñ hai
is hujūm-e-shor-o-shar kī
us ne sochā
yād-gārī chauk meñ chāroñ taraf
ye bolte bāzār haiñ
is liye afsurdagī meñ gum khaḌe
us bed-e-majnūñ par
nazar paḌtī nahīñ
jo akelā rah gayā hai qissā-ḳhvānoñ meñ yahāñ
be-rañg ukhaḌtī chhāl par
chāqū se kanda naam phīkā paḌ gayā hai
kandā-kārī jā milī hai ḳhaak se
vaqt kī ġhaflat ne kyā sābit kiyā
zaḳhm khāne aur lagāne vāloñ meñ
kaun fata.h-yāb haiñ
shīrīñ-gul!
aage sunā
kyā sabz āñkhoñ meñ bhī ḳhākī ḳhvāb haiñ
sun ke bhi chup hi raha
talKH baaten mushk-bar afghani qahwe ke
rasile ghunT mein ghul-mil gain
ye haqiqat aur thi ki bap dada qissa-go mashhur the
is liye wo chup raha
tariKH ke naqshe mein
jin shahron ki shohrat gunjti hai
wo KHamoshi ke is azli rang se zahir hue
jis se shanasai nahin hai
is hujum-e-shor-o-shar ki
us ne socha
yaad-gari chauk mein chaaron taraf
ye bolte bazar hain
is liye afsurdagi mein gum khaDe
us bed-e-majnun par
nazar paDti nahin
jo akela rah gaya hai qissa-KHwanon mein yahan
be-rang ukhaDti chhaal par
chaqu se kanda nam phika paD gaya hai
kanda-kari ja mili hai KHak se
waqt ki ghaflat ne kya sabit kiya
zaKHm khane aur lagane walon mein
kaun fatah-yab hain
shirin-gul!
aage suna
kya sabz aankhon mein bhi KHaki KHwab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.