Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qubuliyat se do hath ki duri par

Muneer Jafri

qubuliyat se do hath ki duri par

Muneer Jafri

MORE BYMuneer Jafri

    maiñ shahr ke navāhī shor meñ rahtā huuñ

    rozāna manoñ ke hisāb se

    ḳhāmoshī sīvrej

    mere ghar ke sāmne paḌāv Dāltā hai

    jis meñ an-kahī bātoñ ke chhilke

    nauzā.ida taklīfoñ ke wrappers

    aur chīḳhtī shāmoñ ḳhālī botaleñ

    badbū-dār gāliyoñ ko janm detī haiñ

    maiñ apnī āvāz nikās chāhtā huuñ

    lafz agar barsāt se pahle

    qarībī samā.atoñ tak na pahuñcheñ

    to zabānoñ ko dīmak lag jaatī hai

    maiñ ne ḳhudā se guzārish hai

    bādaloñ aamad se qabl

    mujhe sūraj se milne diyā jaa.e

    ki harārat jauhaḌoñ ko ḳhushk karne meñ muāvin ho

    magar municipal kametī ke daftar meñ

    baiThne vaale farishte

    chhuTTiyoñ par haiñ

    shahr mujh se do haath duurī par hai

    lekin mere paas loud-speaker nahīñ

    so maiñ is chīḳham dhaaḌ ke manzar-nāme par

    apnī jagah nahīñ banā saktā

    agar ye mas.ala kuchh arse tak yūñhī rahā

    to majbūran mujhe kashtī daryāft karnā hogī

    jise dariyā ne dhutkār diyā ho

    magar maiñ nāḳhudā nahīñ huuñ

    zindagī mujh se kis qadar mazāq kartī hai

    bhalā do haath duurī kitnī der meñ tai hotī hai

    mehrbān sā.atoñ intizār mujhe

    qubūliyat se duur kyoñ rakhtā hai

    main shahr ke nawahi shor mein rahta hun

    rozana manon ke hisab se

    KHamoshi ka siwrej

    mere ghar ke samne paDaw Dalta hai

    jis mein an-kahi baaton ke chhilke

    nauzaida taklifon ke wrappers

    aur chiKHti shamon ki KHali botalen

    badbu-dar galiyon ko janm deti hain

    main apni aawaz ka nikas chahta hun

    lafz agar barsat se pahle

    qaribi samaaton tak na pahunchen

    to zabanon ko dimak lag jati hai

    main ne KHuda se guzarish ki hai

    baadalon ki aamad se qabl

    mujhe suraj se milne diya jae

    ta ki hararat jauhaDon ko KHushk karne mein muawin ho

    magar municipal kameti ke daftar mein

    baiThne wale farishte

    chhuTTiyon par hain

    shahr mujh se do hath ki duri par hai

    lekin mere pas loud-speaker nahin

    so main is chiKHam dhaD ke manzar-name par

    apni jagah nahin bana sakta

    agar ye masala kuchh arse tak yunhi raha

    to majburan mujhe kashti daryaft karna hogi

    jise dariya ne dhutkar diya ho

    magar main naKHuda nahin hun

    zindagi mujh se kis qadar mazaq karti hai

    bhala do hath ki duri kitni der mein tai hoti hai

    mehrban saaton ka intizar mujhe

    qubuliyat se dur kyon rakhta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now