qudrat aur neamat
jal-thal huā hai āñgan
barsā hai ḳhuub paanī
kāġhaz kī ek kashtī
ham ko banā do baajī
kashtī pe baiTh kar ham
nikleñge sair karne
dekheñge baaġh saarā
vo dil-fareb jharne
taaza havā kā jhoñkā
kaliyoñ kā muskurānā
vo bhīnī bhīnī ḳhushbū
phūloñ kā dil lubhānā
sabze pe bikhrī shabnam
shāḳhoñ kā jhuul jaanā
uḌtī parī sī titlī
bhauñroñ kā gungunānā
āñkhoñ ko deñ jo ThanDak
gulshan ke ye nazāre
qudrat kī ne.amateñ haiñ
rāhat ke ye sahāre
shāḳheñ ladīñ hoñ phal se
chiḌiyoñ kā chahchahānā
ye zindagī kā manzar
ham ko sadā dikhānā
lāzim hai ham pe be-shak
shukr-e-ḳhudā adā ho
fazl-o-karam ho ham par
lab pe sadā duā ho
jal-thal hua hai aangan
barsa hai KHub pani
kaghaz ki ek kashti
hum ko bana do baji
kashti pe baiTh kar hum
niklenge sair karne
dekhenge bagh sara
wo dil-fareb jharne
taza hawa ka jhonka
kaliyon ka muskurana
wo bhini bhini KHushbu
phulon ka dil lubhana
sabze pe bikhri shabnam
shaKHon ka jhul jaana
uDti pari si titli
bhaunron ka gungunana
aankhon ko den jo ThanDak
gulshan ke ye nazare
qudrat ki neamaten hain
rahat ke ye sahaare
shaKHen ladin hon phal se
chiDiyon ka chahchahana
ye zindagi ka manzar
hum ko sada dikhana
lazim hai hum pe be-shak
shukr-e-KHuda ada ho
fazl-o-karam ho hum par
lab pe sada dua ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.