qurb
tamām shab mire kamre ki zard khiḌkī par
kabhī havāoñ ke jhoñkoñ ne aa ke dastak dī
kabhī dhaḌaktī huī tīrgī ne sar paTḳhā
kabhī simaTtī bikhartī sī sard būñdoñ ne
ḳhamosh shīshe ki dīvār se gale mil kar
vo ek baat ba-andāz-e-mahramāna kahī
jo maiñ ne shab kī mahaktī huī ḳhamoshī meñ
rafīq-e-rāh-e-mohabbat se vālehāna kahī
vo raat jis meñ sar-e-dasht āsmāñ bādal
khanakte motiyoñ kī dil-navāz rimjhim meñ
zamīñ kī tishna dahānī ke raaz khol gayā
shafaq ke rañg murādoñ kī shab meñ ghol gayā
phir aaj raat falak par tanā hai ḳhema-e-abr
barastī būñdoñ se raushan haiñ zehn meñ sham.eñ
chhatoñ pe nāchtī phirtī haiñ be-zabāñ pariyāñ
lahū meñ raqs-kunāñ hai tamāzat-e-ḳhurshīd
ḳhumār-e-qurb-e-dil-ārā kī ho ga.ī tā.īd
laraztī būñdoñ ke ye jāñ-gudāz shīsh-mahal
khule hue haiñ kisī dard-āshnā ke liye
taras rahe haiñ kisī jashn-e-be-sadā ke liye
dayār-e-shab meñ baḌī der se udaas huuñ maiñ
nazar uThā ke mujhe dekh tere paas huuñ maiñ
tamam shab mere kamre ki zard khiDki par
kabhi hawaon ke jhonkon ne aa ke dastak di
kabhi dhaDakti hui tirgi ne sar paTKHa
kabhi simaTti bikharti si sard bundon ne
KHamosh shishe ki diwar se gale mil kar
wo ek baat ba-andaz-e-mahramana kahi
jo main ne shab ki mahakti hui KHamoshi mein
rafiq-e-rah-e-mohabbat se walehana kahi
wo raat jis mein sar-e-dasht aasman baadal
khanakte motiyon ki dil-nawaz rimjhim mein
zamin ki tishna dahani ke raaz khol gaya
shafaq ke rang muradon ki shab mein ghol gaya
phir aaj raat falak par tana hai KHema-e-abr
barasti bundon se raushan hain zehn mein shamen
chhaton pe nachti phirti hain be-zaban pariyan
lahu mein raqs-kunan hai tamazat-e-KHurshid
KHumar-e-qurb-e-dil-ara ki ho gai taid
larazti bundon ke ye jaan-gudaz shish-mahal
khule hue hain kisi dard-ashna ke liye
taras rahe hain kisi jashn-e-be-sada ke liye
dayar-e-shab mein baDi der se udas hun main
nazar uTha ke mujhe dekh tere pas hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.