qurb o buad
raat ko jab bhī aañkh khulī hai
mujh ko yuuñ mahsūs huā hai
jaise koī
mere sirhāne khaḌā huā hai
do āñhkeñ
mīThī nazroñ se
merā chehrā chuum rahī haiñ
do hāthoñ kī narmī
mere ruḳhsāroñ par phail ga.ī hai
do hoñToñ kī garmī
merī peshānī meñ jazb huī hai
zulfoñ kī lahrātī ḳhushbū
sāñsoñ meñ ras-bas sī ga.ī hai
kamre kī ḳhāmosh fazā meñ
gītoñ ke kuchh bol purāne
tair rahe haiñ
khiḌkī ke pardoñ ko jaise
abhī kisī ne Thiik kiyā hai
ātish-dāñ ke bujhte sho.ale
abhī abhī bhaḌkā.e ga.e haiñ
takiya jo bistar se girā thā
ab sar us pe dharā huā hai
kambal jo pairoñ meñ paḌā thā
saarā badan ab Dhāñp rahā hai
mujh ko yuuñ mahsūs huā hai
jaise tum
ab bhī kamre meñ khaḌī huī ho
ab bhī ghar meñ basī huī ho
lekin tum to chhoḌ ke mujh ko
duur purāne qabristāñ kī
simTī sukḌī ik turbat meñ
ik muddat se chhupī huī ho!
raat ko jab bhi aankh khuli hai
mujh ko yun mahsus hua hai
jaise koi
mere sirhane khaDa hua hai
do aanhken
miThi nazron se
mera chehra chum rahi hain
do hathon ki narmi
mere ruKHsaron par phail gai hai
do honTon ki garmi
meri peshani mein jazb hui hai
zulfon ki lahraati KHushbu
sanson mein ras-bas si gai hai
kamre ki KHamosh faza mein
giton ke kuchh bol purane
tair rahe hain
khiDki ke pardon ko jaise
abhi kisi ne Thik kiya hai
aatish-dan ke bujhte shoale
abhi abhi bhaDkae gae hain
takiya jo bistar se gira tha
ab sar us pe dhara hua hai
kambal jo pairon mein paDa tha
sara badan ab Dhanp raha hai
mujh ko yun mahsus hua hai
jaise tum
ab bhi kamre mein khaDi hui ho
ab bhi ghar mein basi hui ho
lekin tum to chhoD ke mujh ko
dur purane qabristan ki
simTi sukDi ek turbat mein
ek muddat se chhupi hui ho!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.