qurbat aur duri
jazba-e-maz.hab siyāsat kā ḳharosh
ilm kī jehd-e-musalsal fan kā josh
aadmī kī samt hai sab kā jhukāo
sab ko hai insāñ se buniyādī lagāo
baat ye un sab ke hai madd-e-nazar
aadmī se hoñ sadā nazdīk-tar
sab ko qurb insān kā manzūr hai
aadmī hī aadmī se duur hai
jazba-e-mazhab siyasat ka KHarosh
ilm ki jehd-e-musalsal fan ka josh
aadmi ki samt hai sab ka jhukao
sab ko hai insan se buniyaadi lagao
baat ye un sab ke hai madd-e-nazar
aadmi se hon sada nazdik-tar
sab ko qurb insan ka manzur hai
aadmi hi aadmi se dur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.