qutub-minar
ai qutub-mīnār ai bhārat kī azmat ke nishāñ
har ghaḌī sāya-fagan rahtā hai tujh par āsmāñ
tere har ik sang meñ pinhāñ hai terī dāstāñ
dīda-e-hairat se takte haiñ tujhe ahl-e-jahāñ
sar-bulandī par tirī ham hindiyoñ ko naaz hai
tū hamārī ḳhushnumā tārīḳh kā ġhammāz hai
terā maskan arz-e-dillī rashk-e-husn-e-koh-e-qāf
chāñd-sūraj roz tere gird karte haiñ tavāf
saarī duniyā ko hai terī azmatoñ kā e'tirāf
tujh se hotā hai hamārī qaumiyat kā inkishāf
terī sannā.ī zamāne ke liye pur-pech hai
aaj bhī paris kā tower tere aage hech hai
tū hamārī shān-o-shaukat kā hai tābinda gavāh
tujh se raushan hai hamāre ilm-o-fan kī shāhrāh
tujh pe paḌte hī chamak uThtī hai hairat se nigāh
tū hamārā pāsbāñ hai tū hamārā ḳhair-ḳhvāh
tarjumān-e-vaqt hai tū rahnumā-e-fan hai tū
haañ libās-e-sang meñ ik paikar-e-āhan hai tū
ai qutub-minar ai bhaarat ki azmat ke nishan
har ghaDi saya-fagan rahta hai tujh par aasman
tere har ek sang mein pinhan hai teri dastan
dida-e-hairat se takte hain tujhe ahl-e-jahan
sar-bulandi par teri hum hindiyon ko naz hai
tu hamari KHushnuma tariKH ka ghammaz hai
tera maskan arz-e-dilli rashk-e-husn-e-koh-e-qaf
chand-suraj roz tere gird karte hain tawaf
sari duniya ko hai teri azmaton ka e'tiraf
tujh se hota hai hamari qaumiyat ka inkishaf
teri sannai zamane ke liye pur-pech hai
aaj bhi paris ka tower tere aage hech hai
tu hamari shan-o-shaukat ka hai tabinda gawah
tujh se raushan hai hamare ilm-o-fan ki shahrah
tujh pe paDte hi chamak uThti hai hairat se nigah
tu hamara pasban hai tu hamara KHair-KHwah
tarjuman-e-waqt hai tu rahnuma-e-fan hai tu
han libas-e-sang mein ek paikar-e-ahan hai tu
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 25)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.