raegani ki bashaarat
havā ne kunj-e-gum-gashta meñ aa ke
merī palkoñ par jamī vīrāniyoñ kī ḳhaak ko jhāḌā
aur apnī shabnam afshānī se merī bāñjh palkoñ ko
guhar-bārī meñ badlā
ye samajhtī hai
maiñ us ke haath meñ uñglī thamā kar
phir kisī nā-dīda parbat ke safar kī zid karūñgā
tā-abad ham-rāh phiruñgā
vaqt ik disposable rishte kī sūrat hai
jo istimāl hotā hai
basar hotā nahīñ...
mujhe takmīl kī sarhad pe lā ke rā.egānī kī bashārat dī ga.ī hai
maiñ jo reza reza malba bantī ābādī kā nauha-ḳhvāñ huuñ
mere haath kī ḳhvāhish
qalam se, phuul kī pattī banānā chāhtī hai...
magar maiñ malbe kī īñToñ kī gintī kar rahā huuñ
ghar ke vīrāne meñ baiThā
yaad aane vaale lamhoñ ko
bhulāne ke liye dohrā rahā huuñ
hawa ne kunj-e-gum-gashta mein aa ke
meri palkon par jami viraniyon ki KHak ko jhaDa
aur apni shabnam afshani se meri banjh palkon ko
guhar-bari mein badla
ye samajhti hai
main us ke hath mein ungli thama kar
phir kisi na-dida parbat ke safar ki zid karunga
ta-abad ham-rah phirunga
waqt ek disposable rishte ki surat hai
jo istimal hota hai
basar hota nahin
mujhe takmil ki sarhad pe la ke raegani ki bashaarat di gai hai
main jo reza reza malba banti aabaadi ka nauha-KHwan hun
mere hath ki KHwahish
qalam se, phul ki patti banana chahti hai
magar main malbe ki inTon ki ginti kar raha hun
ghar ke virane mein baiTha
yaad aane wale lamhon ko
bhulane ke liye dohra raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.