rag-yug ki nazmen
baajā kabhī na thamne vaalā
shevan sūkhī phaliyoñ kā
gard-ālūd havā ke jhakkaḌ
itnī uthal-puthal jaarī
sannāTā phir bhī sannāTā
ik khiñchī kamān
vo kab TuuTā kab phūTā
hāshiya-e-dīvār kī sūrat
Dher sunahrā
piile sūkhe pattoñ kā
charmarā kartā zarar se aarī
ḳhaak meñ rultī charmar us kī suntā huā
khiḌkī se chipkā thā khaḌā vo be-parvā
har aahaT ke har āvāz ke Dhāñche meñ
reñg rahā berī bhedī
gahnā itnā por por sunahrā laade
Tahnī Tahnī jogan pairāgan
chup kī daad kamānā chāheñ
som latā.eñ
rāgniyāñ sab
kyā dīpak kyā megh
rāg-yug biitā
kab biitā rāg-yug
tire gaañv kī chhāñv
terā singhāsan uḌan-khaTolā
kin Tīloñ ke tale
bachche khel rahe haiñ apnā
shorīkār kā khel purānā
rāg-yug kahe dhuup jahāñ
piilī hai to kabhī dhānī
bahtā paanī
roīda uljhāo
ḳhas-o-ḳhāshāk dhatūrā nāg-phanī
aur vahīñ champā kī shāḳh bhī
sar-tābī se phūle-phale
aahan tez kaḌī dhūpoñ kā
aur bhī kuchh pighle
taptā ḳhuun hai pī jā.egā
som amrit kā ye ghūñT
lū chaltī rahī
qatra qatra pasīna kab kā suukh chukā
tāza-dilī ke halkore āñkhoñ meñ magar
ab bhī baaqī
dhuul bharī pagDanDī balkhātī muḌtī hai
raqs-kunāñ hai bagūle meñ ik barg-e-surḳh
kohistānī siloñ ke beach chamaktā paanī
ik jhāḌī se uḌāneñ bhartī
baalā baalā paroñ kī jhilmil
dūsrī jhāḌī meñ rū-posh
itnī sī ik baat usī se
sonā sonā dil kā ufuq
rañg bharā nairañg bharā
jal meñ Duube aks uḌe
titlī ke paroñ se
vo jal thā
nar-mūhī
halchal se jo baaz rahā
dil to na thā
kab us kī thaah meñ jhalkā huā
damkī damkī hun barsātī dhuñd kā ik pūrab
titlī ke paroñ se uḌ paayā
ik pukār suhānī thī vo
fāsle shunavā.ī ke le jis ko darkār
tab dard kī lau tez huī
merī apnī siimā thī
merā apnā dosh
us se nikle sab jhagḌe dukhḌe
duniyā kahtī hai ham bhī
kahte haiñ apnī apnī gāthā kā use harf-e-āġhāz
tāfa-ba-tāfa ḳhushbū chhantī rahī
sahj subhāv meñ apnā.iyat kā rachāo rachātī
magar kasauTī ke patthar meñ jab Dhal jaatī
tab Takrāo aTal
tab sahnā ghaav pe ghaav
magar uf kahnā aar magar
uf kahnā haar
tab barbādī
taḳht-e-sulaimāñ thā jaise barbād rahā
apnī ḳhushī se kaun us kā
apnī marzī se paḌāv
kohrā chhāvnī chhāne aayā devgirī par
ānan-fānan devgirī
sar-ba-falak ik ruī kā Dher
dhunkī bhī naddāf kī phurtīlī thī
aur naddāf bhī tez
iiñ ham aañ ham diiñ ham jaañ ham
raft hī raft kī dhun par gaale uḌte hue
āñdhī ne dekhe āñdhī ko hāñke kī sūjhī
lekin chhupe mozāhim vo pech-o-ḳham kaḌī chaTTānoñ ke
kab hāñke ga.e
kitnī baar huā aisā
silsila mast-e-alast ye qaa.em
nīlāhaT ke adam ke pas-e-manzar se ubhartā
hairāñ hairāñ āñkhoñ ko dikhlā.ī diyā
ghuum rahā hai parvāna
chakrāyā be-sadā ho ke girā
phir chāñdī chāñdī raakh huā simTī
bikhre bikhre par vo juḌe
phir bahkī bahkī uḌaan bharī
Takrātā hai fānūs se
sham-e-tamannā
Takrāne de use
āḳhir is kā apnā bhī ik
fānūs habāb-āsā hai ḳhvāb-āsā
vo jitnā chaknā-chūr utnā hī
nūr-e-zuhūr kā aalam us se phaTā paḌtā
kab ho paa.ī ye shikastagī puurī
muktī
vo shaguftagī puurī
yuuñ ik pal
jhoñk diyā jaatā hai us meñ
ab jab tab se vārasta
man-mānā bahāv
tab tum bin duujā be-hamtā
kaun is ke jiine marne kā
phir mar kar jī uThne kā javāz
kal-jug ke paas jag ke khetoñ se phūTe
giit rahaT kā
sairābī hī us kī lai
rut rut nayā rahe lauh-o-qalam tere
sarmad sargam
kahāñ ugam tirā kahāñ ugam
terā sabūcha gahvāra tirā
har roz-e-raushan
tujh ko saaje aalam aalam ham-āhañgī
lekin apnī tarañg ke saath
ban chiḌiyāñ be-rok uḌāneñ
be-bandish chahchahe
sañgat meñ pūrabī navā kī
hare-bhare zamzame
ghulī-milī un meñ ik kuuk
musalsal sah zarbī
detī hai an-dekhī kisī hudhud chiḌiyā kā pata
ye apnī pahchān kī rut ke pakherū
ūñchī ghaas meñ chhap ke navā pairā
chup ho jaa.eñ
tab bhī guuñj ke āñgan meñ
rim-jhim barse jaanā jaarī
hār-siñghār kī kaliyoñ kā
pañkh humā ke khulte rahe aur juḌte rahe
afshāñ ke bikhrāo meñ dhīre dhīre ujāgar hote hue
sīmābī kare
panap sake to panpe insāñ
nar-nārī meñ vā māñda vo nashv-o-numā
sūraj-mukhī kashīda-qāmat
ra.anā.ī dar ra.anā.ī khultā huā imkāñ
jitnā piine itnā aur panapne kā armān kare
apnī hī bīnā.ī kī tausī.a sī
pal pal taaza numūd fazāoñ meñ
piine varna
phir kyā hai naġhme kī asaas
varna tund takrār bhī
chob bhī taar bhī
raakh sitāroñ kī
jhaḌtī huī paiham sard anfās
baja kabhi na thamne wala
shewan sukhi phaliyon ka
gard-alud hawa ke jhakkaD
itni uthal-puthal jari
sannaTa phir bhi sannaTa
ek khinchi kaman
wo kab TuTa kab phuTa
hashiya-e-diwar ki surat
Dher sunahra
pile sukhe patton ka
charmara karta zarar se aari
KHak mein rulti charmar us ki sunta hua
khiDki se chipka tha khaDa wo be-parwa
har aahaT ke har aawaz ke Dhanche mein
reng raha beri bhedi
gahna itna por por sunahra lade
Tahni Tahni jogan pairagan
chup ki dad kamana chahen
som lataen
ragniyan sab
kya dipak kya megh
rag-yug bita
kab bita rag-yug
tere ganw ki chhanw
tera singhasan uDan-khaTola
kin Tilon ke tale
bachche khel rahe hain apna
shorikar ka khel purana
rag-yug kahe dhup jahan
pili hai to kabhi dhani
bahta pani
roida uljhao
KHas-o-KHashak dhatura nag-phani
aur wahin champa ki shaKH bhi
sar-tabi se phule-phale
aahan tez kaDi dhupon ka
aur bhi kuchh pighle
tapta KHun hai pi jaega
som amrit ka ye ghunT
lu chalti rahi
qatra qatra pasina kab ka sukh chuka
taza-dili ke halkore aankhon mein magar
ab bhi baqi
dhul bhari pagDanDi balkhati muDti hai
raqs-kunan hai bagule mein ek barg-e-surKH
kohistani silon ke beach chamakta pani
ek jhaDi se uDanen bharti
baala baala paron ki jhilmil
dusri jhaDi mein ru-posh
itni si ek baat usi se
sona sona dil ka ufuq
rang bhara nairang bhara
jal mein Dube aks uDe
titli ke paron se
wo jal tha
nar-muhi
halchal se jo baz raha
dil to na tha
kab us ki thah mein jhalka hua
damki damki hun barsati dhund ka ek purab
titli ke paron se uD paya
ek pukar suhani thi wo
fasle shunawai ke le jis ko darkar
tab dard ki lau tez hui
meri apni sima thi
mera apna dosh
us se nikle sab jhagDe dukhDe
duniya kahti hai hum bhi
kahte hain apni apni gatha ka use harf-e-aghaz
tafa-ba-tafa KHushbu chhanti rahi
sahj subhaw mein apnaiyat ka rachao rachati
magar kasauTi ke patthar mein jab Dhal jati
tab Takrao aTal
tab sahna ghaw pe ghaw
magar uf kahna aar magar
uf kahna haar
tab barbaadi
taKHt-e-sulaiman tha jaise barbaad raha
apni KHushi se kaun us ka
apni marzi se paDaw
kohra chhawni chhane aaya dewgiri par
aanan-fanan dewgiri
sar-ba-falak ek rui ka Dher
dhunki bhi naddaf ki phurtili thi
aur naddaf bhi tez
in hum aan hum din hum jaan hum
raft hi raft ki dhun par gale uDte hue
aandhi ne dekhe aandhi ko hanke ki sujhi
lekin chhupe mozahim wo pech-o-KHam kaDi chaTTanon ke
kab hanke gae
kitni bar hua aisa
silsila mast-e-alast ye qaem
nilahaT ke adam ke pas-e-manzar se ubharta
hairan hairan aankhon ko dikhlai diya
ghum raha hai parwana
chakraya be-sada ho ke gira
phir chandi chandi rakh hua simTi
bikhre bikhre par wo juDe
phir bahki bahki uDan bhari
Takraata hai fanus se
sham-e-tamanna
Takrane de use
aaKHir is ka apna bhi ek
fanus habab-asa hai KHwab-asa
wo jitna chakna-chur utna hi
nur-e-zuhur ka aalam us se phaTa paDta
kab ho pai ye shikastagi puri
mukti
wo shaguftagi puri
yun ek pal
jhonk diya jata hai us mein
ab jab tab se warasta
man-mana bahaw
tab tum bin duja be-hamta
kaun is ke jine marne ka
phir mar kar ji uThne ka jawaz
kal-jug ke pas jag ke kheton se phuTe
git rahaT ka
sairabi hi us ki lai
rut rut naya rahe lauh-o-qalam tere
sarmad sargam
kahan ugam tera kahan ugam
tera sabucha gahwara tera
har roz-e-raushan
tujh ko saje aalam aalam ham-ahangi
lekin apni tarang ke sath
ban chiDiyan be-rok uDanen
be-bandish chahchahe
sangat mein purabi nawa ki
hare-bhare zamzame
ghuli-mili un mein ek kuk
musalsal sah zarbi
deti hai an-dekhi kisi hudhud chiDiya ka pata
ye apni pahchan ki rut ke pakheru
unchi ghas mein chhap ke nawa paira
chup ho jaen
tab bhi gunj ke aangan mein
rim-jhim barse jaana jari
haar-singhaar ki kaliyon ka
pankh huma ke khulte rahe aur juDte rahe
afshan ke bikhrao mein dhire dhire ujagar hote hue
simabi kare
panap sake to panpe insan
nar-nari mein wa manda wo nashw-o-numa
suraj-mukhi kashida-qamat
ranai dar ranai khulta hua imkan
jitna pine itna aur panapne ka arman kare
apni hi binai ki tausia si
pal pal taza numud fazaon mein
pine warna
phir kya hai naghme ki asas
warna tund takrar bhi
chob bhi tar bhi
rakh sitaron ki
jhaDti hui paiham sard anfas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.