rah-e-farar
idhar se na jaao
idhar raah meñ ek būḌhā khaḌā hai
jo peshāniyoñ aur chehroñ
pe aisī bhabhūt ek mal degā sab jhurriyāñ phaT paḌeñgī
siyah, maar jaise, chamakte hue kaale bāloñ
pe aisī sapīdī umañD aa.egī kuchh tadāruk nahīñ jis kā koī
koī rāsta aur DhūñDo
ki is pīr-e-fartūt kī tez nazroñ se bach kar
nikal jaa.eñ aur is kī zad meñ na aa.eñ kabhī ham
idhar se na jaao
idhar maiñ ne ik shaḳhs ko jaate dekhā hai aksar
javānoñ ko jo raah meñ rok letā hai un se
vahīñ bāteñ kartā hai mil kar
jo suqrāt kartā thā yūnān ke manchaloñ se
yaqīnan use ek din zahr piinā paḌegā
idhar se na jaao
idhar raushnī hai
kahīñ aao chhup jaa.eñ jākar tamām āfatoñ se
mujhe ek tah-ḳhāna ma.alūm hai ḳhushnumā sā
jo shāhān-e-dehlī ne banvāyā thā is ġharaz se
ki abdāliyoñ, nādirī fauj kī dastaras se
bacheñ aur baiThe raheñ saare hañgāmoñ kī zad se haT kar
ye dar-asl mīrās hai aap kī merī sab kī
salātīn-e-dehlī se pahle kisī aur ne is kī buniyād rakkhī thī lekin
vo ab qabl-e-tārīḳh kī baat hai kaun jaane
idhar se na jaao
idhar shāh-nādir nahīñ aaj koī bhī lekin
vahī qatl-e-ām aaj bhī ho rahā hai
ye mīrās hai aap kī merī sab kī
ye sauġhāt bairūnī hākim hameñ de ga.e haiñ
chalo sāmne ke añdhere meñ ghus kar
utar jaa.eñ tah-ḳhāne kī ḳhāmushī meñ
ye sab khiḌkiyāñ band kar deñ
koī chīḳhne bain karne kī āvāz ham tak na aa.e
koī ḳhuun kī chhīñT dāman pe aakar na baiThe
kabhī tum ne gāñjā piyā hai?
koī bhañg kā shauq, koī jaḌī-būTī khaa.ī
na koken afyūn kuchh bhī
kabhī koī nashsha nahīñ tum ne chakkhā
na aġhlām-e-amrd-parastī se rishta rahā hai
koī tajraba bhī nahīñ zindagī kaa?
fasādāt dekhe the taqsīm ke vaqt tum ne
havā meñ uchhalte hue DanThaloñ kī tarah shīr-ḳhvāroñ ko dekhā thā kaTte
aur pistāñ-burīda javāñ laḌkiyāñ tum ne dekhī thiiñ kyā bain karte?
nahīñ ye to nashsha nahīñ tajraba bhī nahīñ aisā koī
ye ik sāneha hai
farāmosh-gārī kā ehsān maano
ye sab kal kī bāteñ haiñ, bosīda bāteñ
jinheñ bhuul jaanā behtar
farāmosh-gārī bhī
ik ne.amat-e-be-bahā hai
idhar se na jaao
koī raah meñ rok legā
nayā koī ḳhatra nayā mas.ala koī jis ko
na sochā na samjhā na ehsās hai jis kā ab tak
koī aisī sūrat nikālo
ye sab āfateñ apnā dāman na pakḌeñ
koī aur rāh-e-farār aisī DhūñDo
ki ham zindagī ke jahannam ko jannat samajh leñ!
idhar se na jao
idhar rah mein ek buDha khaDa hai
jo peshaniyon aur chehron
pe aisi bhabhut ek mal dega sab jhurriyan phaT paDengi
siyah, mar jaise, chamakte hue kale baalon
pe aisi sapidi umanD aaegi kuchh tadaruk nahin jis ka koi
koi rasta aur DhunDo
ki is pir-e-fartut ki tez nazron se bach kar
nikal jaen aur is ki zad mein na aaen kabhi hum
idhar se na jao
idhar main ne ek shaKHs ko jate dekha hai aksar
jawanon ko jo rah mein rok leta hai un se
wahin baaten karta hai mil kar
jo suqraat karta tha yunan ke manchalon se
yaqinan use ek din zahr pina paDega
idhar se na jao
idhar raushni hai
kahin aao chhup jaen jakar tamam aafaton se
mujhe ek tah-KHana malum hai KHushnuma sa
jo shahan-e-dehli ne banwaya tha is gharaz se
ki abdaliyon, nadiri fauj ki dastaras se
bachen aur baiThe rahen sare hangamon ki zad se haT kar
ye dar-asl miras hai aap ki meri sab ki
salatin-e-dehli se pahle kisi aur ne is ki buniyaad rakkhi thi lekin
wo ab qabl-e-tariKH ki baat hai kaun jaane
idhar se na jao
idhar shah-nadir nahin aaj koi bhi lekin
wahi qatl-e-am aaj bhi ho raha hai
ye miras hai aap ki meri sab ki
ye saughat bairuni hakim hamein de gae hain
chalo samne ke andhere mein ghus kar
utar jaen tah-KHane ki KHamushi mein
ye sab khiDkiyan band kar den
koi chiKHne bain karne ki aawaz hum tak na aae
koi KHun ki chhinT daman pe aakar na baiThe
kabhi tum ne ganja piya hai?
koi bhang ka shauq, koi jaDi-buTi khai
na koken afyun kuchh bhi
kabhi koi nashsha nahin tum ne chakkha
na aghlam-e-amrd-parasti se rishta raha hai
koi tajraba bhi nahin zindagi ka?
fasadat dekhe the taqsim ke waqt tum ne
hawa mein uchhalte hue DanThalon ki tarah shir-KHwaron ko dekha tha kaTte
aur pistan-burida jawan laDkiyan tum ne dekhi thin kya bain karte?
nahin ye to nashsha nahin tajraba bhi nahin aisa koi
ye ek saneha hai
faramosh-gari ka ehsan mano
ye sab kal ki baaten hain, bosida baaten
jinhen bhul jaana behtar
faramosh-gari bhi
ek neamat-e-be-baha hai
idhar se na jao
koi rah mein rok lega
naya koi KHatra naya masala koi jis ko
na socha na samjha na ehsas hai jis ka ab tak
koi aisi surat nikalo
ye sab aafaten apna daman na pakDen
koi aur rah-e-farar aisi DhunDo
ki hum zindagi ke jahannam ko jannat samajh len!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.