rah-e-rast
jo haq par hai īmān-e-kāmil hamārā
banā legā kyā zor-e-bātil hamārā
jo ham muttahid ho ke rahte vatan meñ
na thā koī madd-e-muqābil hamārā
ġhulāmī kī ḳhū bū musallat hai ham par
dimāġh ab hamārā na ab dil hamārā
rah-e-rāst se gar qadam Dagmagāyā
na hogā guzar tā-ba-manzil hamārā
jahāñ scent par scent haiñ ahl-e-ālam
vahāñ darja-e-fasl hai nil hamārā
haiñ āvāra-e-dasht majnūñ kī sūrat
na lailā hamārī na mahmil hamārā
na kashtī na kashtī ke mallāh apne
na dariyā na dariyā kā sāhil hamārā
ta.assub ne barbād ham ko kiyā hai
yahī hai yahī sirf qātil hamārā
vatan par musallat haiñ añgrez jab tak
panapnā yaqīnan hai mushkil hamārā
jo haq par hai iman-e-kaamil hamara
bana lega kya zor-e-baatil hamara
jo hum muttahid ho ke rahte watan mein
na tha koi madd-e-muqabil hamara
ghulami ki KHu bu musallat hai hum par
dimagh ab hamara na ab dil hamara
rah-e-rast se gar qadam Dagmagaya
na hoga guzar ta-ba-manzil hamara
jahan scent par scent hain ahl-e-alam
wahan darja-e-fasl hai nil hamara
hain aawara-e-dasht majnun ki surat
na laila hamari na mahmil hamara
na kashti na kashti ke mallah apne
na dariya na dariya ka sahil hamara
tassub ne barbaad hum ko kiya hai
yahi hai yahi sirf qatil hamara
watan par musallat hain angrez jab tak
panapna yaqinan hai mushkil hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.