rah-e-taKHayyul
ḳhushbū ko bhī ḳhayāl duuñ
titlī ke rang ujaal duuñ
qirtās kī zamīn ko
pur-nūr ḳhadd-o-ḳhāl duuñ
muTThī meñ bhar ke kahkashāñ
terī taraf uchhāl duuñ
mīThī sī terī yaad ko
shīrīnī-e-jamāl duuñ
qirtās kī zamīn ko
maiñ terā hī ḳhayāl duuñ
muTThī meñ bhar ke kahkashāñ
terī taraf uchhāl duuñ
ḳhvāboñ kī rahguzar sahī
sochoñ kā qāfila sahī
maiñ āmad-e-rafīq ko
ik aks-e-bā-kamāl duuñ
muTThī meñ bhar ke kahkashāñ
terī taraf uchhāl duuñ
KHushbu ko bhi KHayal dun
titli ke rang ujal dun
qirtas ki zamin ko
pur-nur KHadd-o-KHal dun
muTThi mein bhar ke kahkashan
teri taraf uchhaal dun
miThi si teri yaad ko
shirini-e-jamal dun
qirtas ki zamin ko
main tera hi KHayal dun
muTThi mein bhar ke kahkashan
teri taraf uchhaal dun
KHwabon ki rahguzar sahi
sochon ka qafila sahi
main aamad-e-rafiq ko
ek aks-e-ba-kamal dun
muTThi mein bhar ke kahkashan
teri taraf uchhaal dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.