rah-e-watan mein
rah-e-vatan meñ qadam se qadam milā ke chalo
nishān-e-azmat-e-hindostāñ uThā ke chalo
rah-e-vatan meñ qadam se qadam milā ke chalo
baḌho diloñ meñ azā.em kī bijliyāñ le kar
laboñ pe himmat-o-mehnat kī dāstāñ le kar
har ik mauj-e-masā.ib se khelte guzro
ajal bhī sāmne aa.e to muskurā ke chalo
rah-e-vatan meñ qadam se qadam milā ke chalo
bhulā do buġhz-o-adāvat kī dāstānoñ ko
jalā do firqa-parastī ke āshiyānoñ ko
har ek samt bikhero ḳhulūs ke naġhme
diloñ meñ jazba-e-mehr-o-vafā jagā ke chalo
rah-e-vatan meñ qadam se qadam milā ke chalo
kuchh aur bazm-e-vatan ko sañvārnā hai abhī
kuchh aur apne chaman ko nikhārnā hai abhī
ye ġhaflatoñ kā zamāna nahīñ vatan vaalo
dikhāo josh-e-amal ġhaflateñ miTā ke chalo
rah-e-vatan meñ qadam se qadam milā ke chalo
rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
nishan-e-azmat-e-hindostan uTha ke chalo
rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
baDho dilon mein azaem ki bijliyan le kar
labon pe himmat-o-mehnat ki dastan le kar
har ek mauj-e-masaib se khelte guzro
ajal bhi samne aae to muskura ke chalo
rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
bhula do bughz-o-adawat ki dastanon ko
jala do firqa-parasti ke aashiyanon ko
har ek samt bikhero KHulus ke naghme
dilon mein jazba-e-mehr-o-wafa jaga ke chalo
rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
kuchh aur bazm-e-watan ko sanwarna hai abhi
kuchh aur apne chaman ko nikhaarna hai abhi
ye ghaflaton ka zamana nahin watan walo
dikhao josh-e-amal ghaflaten miTa ke chalo
rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.