rah-rau
aaj maiñ duur bahut duur nikal aayā huuñ
be-talab tag-o-dau
dil meñ kāvish na talāsh
na koī ḳhvāhish maḳhfī na tamannā-e-ma.āsh
havas-e-ḳhām na saudā-e-tamām
yūñhī chaltā huā chaltā huā aa pahuñchā huuñ
pai-ba-pai gām-ba-gām
kis qadar duur nikal aayā huuñ
us se pahle bhī chalā huuñ maiñ na.ī rāhoñ par
shāh-rāhoñ se pare
ḳhār-zāroñ meñ ghisaTtī huī ik surḳh lakīr
ik sisaktī huī dil-doz nafīr
sarsarāte hue malbūs
mahaktī huī saañs
lazzat-o-karb kā maddham bam-o-zer
aaj lekin maiñ bahut duur nikal aayā huuñ
aur ik shaam sar-e-rāh-guzār
vo mirī laġhzish-e-pā merī vo be-rāh-ravī
ḳhud-farāmosh subuk-dosh-e-amal
apne ajdād ke nā-karda gunāhoñ kī uqūbat se barī
ik hiran chaukḌī bhartā huā ḳhāmosh-ḳhirām
shaam ke vaqt sar-e-rāh-guzār
maiñ bahut duur bhaTak niklā thā
aaj lekin maiñ bahut duur nikal aayā huuñ
aap se aap bahut duur bahut duur nikal aayā huuñ
shāh-rāhoñ se pare duur guzargāhoñ se
be-talab be-tag-o-dau
ḳhānqāhoñ se alag daur sanam-ḳhānoñ se
havas-e-ḳhām na saudā-e-tamām
yūñhī chaltā huā chaltā huā aa pahuñchā huuñ
pai-ba-pai gām-ba-gām
kis qadar duur bahut duur nikal aayā huuñ
aaj main dur bahut dur nikal aaya hun
be-talab tag-o-dau
dil mein kawish na talash
na koi KHwahish maKHfi na tamanna-e-maash
hawas-e-KHam na sauda-e-tamam
yunhi chalta hua chalta hua aa pahuncha hun
pai-ba-pai gam-ba-gam
kis qadar dur nikal aaya hun
us se pahle bhi chala hun main nai rahon par
shah-rahon se pare
KHar-zaron mein ghisaTti hui ek surKH lakir
ek sisakti hui dil-doz nafir
sarsaraate hue malbus
mahakti hui sans
lazzat-o-karb ka maddham bam-o-zer
aaj lekin main bahut dur nikal aaya hun
aur ek sham sar-e-rah-guzar
wo meri laghzish-e-pa meri wo be-rah-rawi
KHud-faramosh subuk-dosh-e-amal
apne ajdad ke na-karda gunahon ki uqubat se bari
ek hiran chaukDi bharta hua KHamosh-KHiram
sham ke waqt sar-e-rah-guzar
main bahut dur bhaTak nikla tha
aaj lekin main bahut dur nikal aaya hun
aap se aap bahut dur bahut dur nikal aaya hun
shah-rahon se pare dur guzargahon se
be-talab be-tag-o-dau
KHanqahon se alag daur sanam-KHanon se
hawas-e-KHam na sauda-e-tamam
yunhi chalta hua chalta hua aa pahuncha hun
pai-ba-pai gam-ba-gam
kis qadar dur bahut dur nikal aaya hun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 52)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.