rakh
na jaane kab se yūñhī dil-shikasta baiThī huuñ
udaas chehre ko apnī hatheliyoñ meñ liye
guzarne vaalī hai raat aur merī āñkhoñ meñ
jalā rahī hai tirī yaad āñsuoñ ke diye
mirā ḳhayāl thā un zar-nigār mahloñ meñ
vo dil-kashī hai ki maiñ tujh ko bhuul jā.ūñgī
nashāt-e-tāza ke ehsās kī shuāoñ se
shabāb-o-husn kī rāhoñ ko jagmagā.ūngī
magar ḳhabar na thī ye shoḳh-o-shañg hañgāme
mirī javān ummīdoñ kā husn lūTeñge
sunahre ḳhvāb ḳhizāñ-dīda pattiyoñ kī tarah
ujḌā ujaḌ ke baḌī hasratoñ se TūTeñge
maiñ sochtī huuñ ki ik jism ke pujārī ko
mirī vafā ne vafā kā suhāg kyuuñ samjhā
havas ke saaz pe gaa.e hue tarāne ko
dhaḌakte dil kī mohabbat kā raag kyuuñ samjhā
ye sīm-o-zar kī bahāroñ kā daur-e-sarmastī
mirī fasurdagī-e-rūh ko na raas aayā
thakī thakī sī javānī bujhī bujhī sī hayāt
maiñ sochtī huuñ tujhe kho ke maiñ ne kyā paayā
ye Thiik hai ki tirā pyaar sīm-posh na thā
vafā-shanās thā lekin vafā-farosh na thā
na jaane kab se yunhi dil-shikasta baiThi hun
udas chehre ko apni hatheliyon mein liye
guzarne wali hai raat aur meri aankhon mein
jala rahi hai teri yaad aansuon ke diye
mera KHayal tha un zar-nigar mahlon mein
wo dil-kashi hai ki main tujh ko bhul jaungi
nashat-e-taza ke ehsas ki shuaon se
shabab-o-husn ki rahon ko jagmagaungi
magar KHabar na thi ye shoKH-o-shang hangame
meri jawan ummidon ka husn luTenge
sunahre KHwab KHizan-dida pattiyon ki tarah
ujDa ujaD ke baDi hasraton se TuTenge
main sochti hun ki ek jism ke pujari ko
meri wafa ne wafa ka suhag kyun samjha
hawas ke saz pe gae hue tarane ko
dhaDakte dil ki mohabbat ka rag kyun samjha
ye sim-o-zar ki bahaaron ka daur-e-sarmasti
meri fasurdagi-e-ruh ko na ras aaya
thaki thaki si jawani bujhi bujhi si hayat
main sochti hun tujhe kho ke main ne kya paya
ye Thik hai ki tera pyar sim-posh na tha
wafa-shanas tha lekin wafa-farosh na tha
- Book : Sangam (Pg. 42)
- Author : Naresh Kumar Shad
- Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.