soch rahī huuñ
armānoñ ke pinjre se
panchhī ko āzād karūñ maiñ
dil ke bahlāne ko maiñ ne
ghar ke gul-dānoñ meñ kab se
murda ḳhvāb sajā rakhe haiñ
kamre ko kuchh saaf karūñ maiñ
sandal kī lakḌī ke nīche
dhīre dhīre chillātī
ik aas rakhī hai
ik kone meñ
jiitī martī ḳhvāhish kī
ek saañs paḌī hai
jaane kitne barsoñ kī
ātish-dān meñ raakh paḌī hai
soch rahi hun
armanon ke pinjre se
panchhi ko aazad karun main
dil ke bahlane ko main ne
ghar ke gul-danon mein kab se
murda KHwab saja rakhe hain
kamre ko kuchh saf karun main
sandal ki lakDi ke niche
dhire dhire chillati
ek aas rakhi hai
ek kone mein
jiti marti KHwahish ki
ek sans paDi hai
jaane kitne barson ki
aatish-dan mein rakh paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.