Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakhi

chalī aatī hai ab to har kahīñ bāzār rākhī

sunahrī sabz resham zard aur gulnār rākhī

banī hai go ki nādir ḳhuub har sardār rākhī

salonoñ meñ ajab rañgīñ hai us dildār rākhī

na pahuñche ek gul ko yaar jis gulzār rākhī

ayaañ hai ab to rākhī bhī chaman bhī gul bhī shabnam bhī

jhamak jaatā hai motī aur jhalak jaatā hai resham bhī

tamāshā hai ahā hā-hā ġhanīmat hai ye aalam bhī

uThānā haath pyāre vāh-vā Tuk dekh leñ ham bhī

tumhārī motiyoñ aur zarī ke taar rākhī

machī hai har taraf kyā kyā salonoñ bahār ab to

har ik gul-rū phire hai rākhī bāñdhe haath meñ ḳhush ho

havas jo dil meñ guzre hai kahūñ kyā aah maiñ tum ko

yahī aatā hai meñ ban ke bāmhan, aaj to yaaro

maiñ apne haath se pyāre ke bāñdhūñ pyaar rākhī

huī hai zeb-o-zīnat aur ḳhūbāñ ko to rākhī se

va-lekin tum se ai jaañ aur kuchh rākhī ke gul phūle

divānī bulbuleñ hoñ dekh gul chunñe lagīñ tinke

tumhāre haath ne mehñdī ne añgushtoñ ne nāḳhun ne

gulistāñ chaman baaġh gulzār rākhī

adā se haath uThte haiñ gul-e-rākhī jo hilte haiñ

kaleje dekhne vāloñ ke kyā kyā aah chhilte haiñ

kahāñ nāzuk ye pahuñche aur kahāñ ye rañg milte haiñ

chaman meñ shāḳh par kab is tarah ke phuul khilte haiñ

jo kuchh ḳhūbī meñ hai us shoḳh-e-gul-ruḳhsār rākhī

phireñ haiñ rākhiyāñ bāñdhe jo har dam husn ke taare

to un rākhiyoñ ko dekh ai jaañ chaav ke maare

pahan zunnār aur qashqa lagā māthe upar baare

'nazīr' aayā hai bāmhan ban ke rākhī bāñdhne pyāre

bañdhā lo us se tum hañs kar ab is tyauhār rākhī

chali aati hai ab to har kahin bazar ki rakhi

sunahri sabz resham zard aur gulnar ki rakhi

bani hai go ki nadir KHub har sardar ki rakhi

salonon mein ajab rangin hai us dildar ki rakhi

na pahunche ek gul ko yar jis gulzar ki rakhi

ayan hai ab to rakhi bhi chaman bhi gul bhi shabnam bhi

jhamak jata hai moti aur jhalak jata hai resham bhi

tamasha hai aha ha-ha ghanimat hai ye aalam bhi

uThana hath pyare wah-wa Tuk dekh len hum bhi

tumhaari motiyon ki aur zari ke tar ki rakhi

machi hai har taraf kya kya salonon ki bahaar ab to

har ek gul-ru phire hai rakhi bandhe hath mein KHush ho

hawas jo dil mein guzre hai kahun kya aah main tum ko

yahi aata hai ji mein ban ke baamhan, aaj to yaro

main apne hath se pyare ke bandhun pyar ki rakhi

hui hai zeb-o-zinat aur KHuban ko to rakhi se

wa-lekin tum se ai jaan aur kuchh rakhi ke gul phule

diwani bulbulen hon dekh gul chunne lagin tinke

tumhaare hath ne mehndi ne angushton ne naKHun ne

gulistan ki chaman ki bagh ki gulzar ki rakhi

ada se hath uThte hain gul-e-rakhi jo hilte hain

kaleje dekhne walon ke kya kya aah chhilte hain

kahan nazuk ye pahunche aur kahan ye rang milte hain

chaman mein shaKH par kab is tarah ke phul khilte hain

jo kuchh KHubi mein hai us shoKH-e-gul-ruKHsar ki rakhi

phiren hain rakhiyan bandhe jo har dam husn ke tare

to un ki rakhiyon ko dekh ai jaan chaw ke mare

pahan zunnar aur qashqa laga mathe upar bare

'nazir' aaya hai baamhan ban ke rakhi bandhne pyare

bandha lo us se tum hans kar ab is tyauhaar ki rakhi

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Nazeer Akbarabadi (Pg. 308)
  • Author : Nazeer Akbarabadi
  • Publication : Munshi Naval Kishor (1922)
  • Edition : 1922

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now