ram
koī mast-e-bāda-o-jām hai koī mahv-e-raqs-o-ḳhirām hai
koī sarf-e-sher-o-kalām hai koī mahv-e-teġh-o-niyām hai
mujhe do na rang kī dāvateñ mire dil kī aañkh meñ raam hai
mujhe koī rog satā.e kyuuñ mujhe koī ranj rulā.e kyuuñ
mire dil ko aag jalā.e kyuuñ mirī ḳhaak charḳh uḌaa.e kyuuñ
mujhe ḳhauf-e-gard-e-alam nahīñ mire dil kī aañkh meñ raam hai
na hai aañkh ko koī justujū na hai qalb ko koī aarzū
na hai zauq-e-sair-e-bahār-jū na hai shauq-e-shohrat-e-kū-ba-kū
mirā dil dalīl-e-bahisht hai mire dil kī aañkh meñ raam hai
hai chaman ko ḳhvāhish-e-rañg-o-bū hai guhar ko ḳhvāhish-e-ābrū
hai ghaTā ko barq kī justujū hai havā ko saañs kī aarzū
mujhe aarzū hai na justujū mire dil kī aañkh meñ raam hai
na sharār-e-fisq-o-fujūr hai na havā-e-kibr-o-gurūr hai
na fareb hai na futūr hai mire ghar meñ nuur hī nuur hai
mire dil se pūchh na ham-nashīñ mire dil kī aañkh meñ raam hai
kahā phuul ne mujhe phuul kar mire āb-o-rang pe kar nazar
mirī aab āb-e-hayāt-asar mirā rang rañg-e-vafā-samar
mirī zau bahār-e-nigāh hai mirī bū bahār-e-mashām hai
kahā maiñ ne hañs ki ai be-ḳhabar na bahār-e-hāl pe naaz kar
tirī aab āb-e-sarāb-asar tirā rang rang-e-fanā-samar
mirī zindagī ko davām hai mire dil kī aañkh meñ raam hai
koi mast-e-baada-o-jam hai koi mahw-e-raqs-o-KHiram hai
koi sarf-e-sher-o-kalam hai koi mahw-e-tegh-o-niyam hai
mujhe do na rang ki dawaten mere dil ki aankh mein ram hai
mujhe koi rog satae kyun mujhe koi ranj rulae kyun
mere dil ko aag jalae kyun meri KHak charKH uDae kyun
mujhe KHauf-e-gard-e-alam nahin mere dil ki aankh mein ram hai
na hai aankh ko koi justuju na hai qalb ko koi aarzu
na hai zauq-e-sair-e-bahaar-ju na hai shauq-e-shohrat-e-ku-ba-ku
mera dil dalil-e-bahisht hai mere dil ki aankh mein ram hai
hai chaman ko KHwahish-e-rang-o-bu hai guhar ko KHwahish-e-abru
hai ghaTa ko barq ki justuju hai hawa ko sans ki aarzu
mujhe aarzu hai na justuju mere dil ki aankh mein ram hai
na sharar-e-fisq-o-fujur hai na hawa-e-kibr-o-gurur hai
na fareb hai na futur hai mere ghar mein nur hi nur hai
mere dil se puchh na ham-nashin mere dil ki aankh mein ram hai
kaha phul ne mujhe phul kar mere aab-o-rang pe kar nazar
meri aab aab-e-hayat-asar mera rang rang-e-wafa-samar
meri zau bahaar-e-nigah hai meri bu bahaar-e-masham hai
kaha main ne hans ki ai be-KHabar na bahaar-e-haal pe naz kar
teri aab aab-e-sarab-asar tera rang rang-e-fana-samar
meri zindagi ko dawam hai mere dil ki aankh mein ram hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.