rani
Interesting Fact
(That innocent girl from Thatta, who had a heavy child in her arms.)
sar par moTī chādar oḌhe
hāthoñ meñ
apne se bhārī bachcha le kar
sāñvlī rañgat vaalī raanī
chaltī bus meñ
mīThī sauñf-supārī bechne aatī hai
aur bas meñ chāroñ jānib baiThe logoñ kī ye bhūkī nazreñ
us ke kapḌe phaaḌ ke jism ke andar tak
utrī jaatī haiñ
lekin sab se be-parvā vo sāñvlī rañgat vaalī raanī
ek rūpa.e meñ ek supārī kī āvāzeñ bechtī hai
aur seat pe baiThne vaale kutte
maas pe bhauñkne vaale kutte
aksar us ko
chhū lene ko sauñf-supārī bhī khāte haiñ
jab koī us ke haath ko chhū le
jaane kyoñ vo
bachche ko ek bosa de kar
apne sar se chādar khīñch ke apnā jism chhapā letī hai
us pāgal laḌkī ne jaane kitne bojh uThā rakkhe haiñ
us bachche kā us chādar kā
un bhūkī kaalī nazroñ kā
lekin phir bhī
raat ko us laḌkī ne us se ziyāda bojh uThānā hai
aur ḳhud se bhārī us bachche ke bhārī baap ko bahlānā hai
sar par moTi chadar oDhe
hathon mein
apne se bhaari bachcha le kar
sanwli rangat wali rani
chalti bus mein
miThi saunf-supari bechne aati hai
aur bas mein chaaron jaanib baiThe logon ki ye bhuki nazren
us ke kapDe phaD ke jism ke andar tak
utri jati hain
lekin sab se be-parwa wo sanwli rangat wali rani
ek rupae mein ek supari ki aawazen bechti hai
aur seat pe baiThne wale kutte
mas pe bhaunkne wale kutte
aksar us ko
chhu lene ko saunf-supari bhi khate hain
jab koi us ke hath ko chhu le
jaane kyon wo
bachche ko ek bosa de kar
apne sar se chadar khinch ke apna jism chhapa leti hai
us pagal laDki ne jaane kitne bojh uTha rakkhe hain
us bachche ka us chadar ka
un bhuki kali nazron ka
lekin phir bhi
raat ko us laDki ne us se ziyaada bojh uThana hai
aur KHud se bhaari us bachche ke bhaari bap ko bahlana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.