Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat aur rail

Asrarul Haq Majaz

raat aur rail

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    phir chalī hai rail station se lahrātī huī

    nīm-shab ḳhāmushī meñ zer-e-lab gaatī huī

    Dagmagātī jhūmtī siiTī bajātī kheltī

    vaadī o kohsār ThanDī havā khātī huī

    tez jhoñkoñ meñ vo chham chham surūd-e-dil-nashīñ

    āñdhiyoñ meñ meñh barasne sadā aatī huī

    jaise maujoñ tarannum jaise jal-pariyoñ ke giit

    ek ik lai meñ hazāroñ zamzame gaatī huī

    naunihāloñ ko sunātī mīThī mīThī loriyāñ

    nāznīnoñ ko sunahre ḳhvāb dikhlātī huī

    Thokareñ khā kar lachaktī gungunātī jhūmtī

    sarḳhushī meñ ghuñgruoñ taal par gaatī huī

    naaz se har moḌ par khātī huī sau pech-o-ḳham

    ik dulhan apnī adā se aap sharmātī huī

    raat tārīkiyoñ meñ jhilmilātī kāñptī

    pTriyoñ par duur tak sīmāb jhalkātī huī

    jaise aadhī raat ko niklī ho ik shāhī barāt

    shādyānoñ sadā se vajd meñ aatī huī

    muntashir kar ke fazā meñ jā-ba-jā chiñgāriyāñ

    dāman-e-mauj-e-havā meñ phuul barsātī huī

    tez-tar hotī huī manzil-ba-manzil dam-ba-dam

    rafta rafta apnā aslī ruup dikhlātī huī

    sīna-e-kohsār par chaḌhtī huī be-iḳhtiyār

    ek nāgan jis tarah mastī meñ lahrātī huī

    ik sitāra TuuT kar jaise ravāñ ho arsh se

    rif.at-e-kohsār se maidān meñ aatī huī

    ik bagūle tarah baḌhtī huī maidān meñ

    jañgaloñ meñ āñdhiyoñ zor dikhlātī huī

    rāsa-bar-andām kartī anjum-e-shab-tāb ko

    āshiyāñ meñ tā.ir-e-vahshī ko chauñkātī huī

    yaad aa jaa.e purāne devtāoñ jalāl

    un qayāmat-ḳheziyoñ ke saath bal khātī huī

    ek raḳhsh-e-be-ināñ barq-raftārī ke saath

    ḳhandaqoñ ko phāñdtī Tīloñ se katrātī huī

    murġh-zāroñ meñ dikhātī jū-e-shīrīñ ḳhirām

    vādiyoñ meñ abr ke mānind mañDlātī huī

    ik pahāḌī par dikhātī ābshāroñ jhalak

    ik bayābāñ meñ charāġh-e-tūr dikhlātī huī

    justujū meñ manzil-e-maqsūd dīvāna-vār

    apnā sar dhuntī fazā meñ baal bikhrātī huī

    chheḌtī ik vajd ke aalam meñ sāz-e-sarmadī

    ġhaiz ke aalam meñ muñh se aag barsātī huī

    reñgtī muḌtī machaltī tilmilātī hāñptī

    apne dil ātish pinhāñ ko bhaḌkātī huī

    ḳhud-ba-ḳhud rūThī huī biphrī huī bikhrī huī

    shor-e-paiham se dil-e-gītī ko dhaḌkātī huī

    pul pe dariyā ke damā-dam kauñdtī lalkārtī

    apnī is tūfan-añgezī pe itrātī huī

    pesh kartī biich naddī meñ charāġhāñ samāñ

    sāhiloñ par ret ke zarroñ ko chamkātī huī

    muñh meñ ghustī hai surañgoñ ke yakāyak dauḌ kar

    dandanātī chīḳhtī chiñghāḌtī gaatī huī

    aage aage justujū-āmez nazreñ Dāltī

    shab ke haibatnāk nazzāroñ se ghabrātī huī

    ek mujrim tarah sahmī huī simTī huī

    ek muflis tarah sardī meñ tharrātī huī

    Tez-e-raftār ke sikke jamātī jā-ba-jā

    dasht o dar meñ zindagī lahar dauḌātī huī

    Daal kar guzre manāzir par andhere naqāb

    ik nayā manzar nazar ke sāmne laatī huī

    safha-e-dil se miTātī ahd-e-māzī ke nuqūsh

    haal o mustaqbil ke dilkash ḳhvāb dikhlātī huī

    Dāltī be-his chaTānoñ par haqārat nazar

    koh par hañstī falak ko aañkh dikhlātī huī

    dāman-e-tāriki-e-shab uḌātī dhajjiyāñ

    qasr-e-zulmat par musalsal tiir barsātī huī

    zad meñ koī chiiz aa jaa.e to us ko piis kar

    irtiqā-e-zindagī ke raaz batlātī huī

    zo.am meñ peshāni-e-sahrā pe Thokar mārtī

    phir subuk-raftāriyoñ ke naaz dikhlātī huī

    ek sarkash fauj sūrat alam khole hue

    ek tūfānī garaj ke saath Darātī huī

    ek ik harkat se andāz-e-baġhāvat āshkār

    azmat-e-insāiyat ke zamzame gaatī huī

    har qadam par top ghan-garaj ke saath saath

    goliyoñ sansanāhaT sadā aatī huī

    vo havā meñ saikaḌoñ jañgī duhal bajte hue

    vo bigul jāñ-fazāñ āvāz lahrātī huī

    al-ġharaz uḌtī chalī jaatī hai be-ḳhauf-o-ḳhatar

    shā.ir-e-ātish-nafas ḳhuun khaulātī huī

    phir chali hai rail station se lahraati hui

    nim-shab ki KHamushi mein zer-e-lab gati hui

    Dagmagati jhumti siTi bajati khelti

    wadi o kohsar ki ThanDi hawa khati hui

    tez jhonkon mein wo chham chham ka surud-e-dil-nashin

    aandhiyon mein meinh barasne ki sada aati hui

    jaise maujon ka tarannum jaise jal-pariyon ke git

    ek ek lai mein hazaron zamzame gati hui

    naunihaalon ko sunati miThi miThi loriyan

    nazninon ko sunahre KHwab dikhlati hui

    Thokaren kha kar lachakti gungunati jhumti

    sarKHushi mein ghungruon ki tal par gati hui

    naz se har moD par khati hui sau pech-o-KHam

    ek dulhan apni ada se aap sharmati hui

    raat ki tarikiyon mein jhilmilati kanpti

    pTriyon par dur tak simab jhalkati hui

    jaise aadhi raat ko nikli ho ek shahi baraat

    shadyanon ki sada se wajd mein aati hui

    muntashir kar ke faza mein ja-ba-ja chingariyan

    daman-e-mauj-e-hawa mein phul barsati hui

    tez-tar hoti hui manzil-ba-manzil dam-ba-dam

    rafta rafta apna asli rup dikhlati hui

    sina-e-kohsar par chaDhti hui be-iKHtiyar

    ek nagan jis tarah masti mein lahraati hui

    ek sitara TuT kar jaise rawan ho arsh se

    rifat-e-kohsar se maidan mein aati hui

    ek bagule ki tarah baDhti hui maidan mein

    jangalon mein aandhiyon ka zor dikhlati hui

    rasa-bar-andam karti anjum-e-shab-tab ko

    aashiyan mein tair-e-wahshi ko chaunkati hui

    yaad aa jae purane dewtaon ka jalal

    un qayamat-KHeziyon ke sath bal khati hui

    ek raKHsh-e-be-inan ki barq-raftari ke sath

    KHandaqon ko phandti Tilon se katraati hui

    murgh-zaron mein dikhati ju-e-shirin ka KHiram

    wadiyon mein abr ke manind manDlati hui

    ek pahaDi par dikhati aabshaaron ki jhalak

    ek bayaban mein charagh-e-tur dikhlati hui

    justuju mein manzil-e-maqsud ki diwana-war

    apna sar dhunti faza mein baal bikhraati hui

    chheDti ek wajd ke aalam mein saz-e-sarmadi

    ghaiz ke aalam mein munh se aag barsati hui

    rengti muDti machalti tilmilati hanpti

    apne dil ki aatish pinhan ko bhaDkati hui

    KHud-ba-KHud ruThi hui biphri hui bikhri hui

    shor-e-paiham se dil-e-giti ko dhaDkati hui

    pul pe dariya ke dama-dam kaundti lalkarti

    apni is tufan-angezi pe itraati hui

    pesh karti bich naddi mein charaghan ka saman

    sahilon par ret ke zarron ko chamkati hui

    munh mein ghusti hai surangon ke yakayak dauD kar

    dandanati chiKHti chinghaDti gati hui

    aage aage justuju-amez nazren Dalti

    shab ke haibatnak nazzaron se ghabraati hui

    ek mujrim ki tarah sahmi hui simTi hui

    ek muflis ki tarah sardi mein tharraati hui

    Tez-e-raftar ke sikke jamati ja-ba-ja

    dasht o dar mein zindagi ki lahar dauDati hui

    Dal kar guzre manazir par andhere ka naqab

    ek naya manzar nazar ke samne lati hui

    safha-e-dil se miTati ahd-e-mazi ke nuqush

    haal o mustaqbil ke dilkash KHwab dikhlati hui

    Dalti be-his chaTanon par haqarat ki nazar

    koh par hansti falak ko aankh dikhlati hui

    daman-e-tariki-e-shab ki uDati dhajjiyan

    qasr-e-zulmat par musalsal tir barsati hui

    zad mein koi chiz aa jae to us ko pis kar

    irtiqa-e-zindagi ke raaz batlati hui

    zoam mein peshani-e-sahra pe Thokar marti

    phir subuk-raftariyon ke naz dikhlati hui

    ek sarkash fauj ki surat alam khole hue

    ek tufani garaj ke sath Daraati hui

    ek ek harkat se andaz-e-baghawat aashkar

    azmat-e-insaiyat ke zamzame gati hui

    har qadam par top ki si ghan-garaj ke sath sath

    goliyon ki sansanahaT ki sada aati hui

    wo hawa mein saikaDon jangi duhal bajte hue

    wo bigul ki jaan-fazan aawaz lahraati hui

    al-gharaz uDti chali jati hai be-KHauf-o-KHatar

    shair-e-atish-nafas ka KHun khaulati hui

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    raat aur rail Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now