raat din
kaise allāh ne banā.e raat din
kaisī hikmat se sajā.e raat din
sub.h aa.ī to ujālā aa gayā
shaam aa.ī to andher chhā gayā
din huā to log saare jaag uThe
raat aa.ī chāñd taare jaag uThe
din banā hai kaam karne ke liye
raat hai ārām karne ke liye
koī ho insān yā haivān ho
jānvar ho yā koī be-jān ho
raat un ke Dhañg hī kuchh aur haiñ
raat un ke aur hī kuchh taur haiñ
din huā sab kaam karne lag ga.e
shab huī ārām karne lag ga.e
kaise allah ne banae raat din
kaisi hikmat se sajae raat din
subh aai to ujala aa gaya
sham aai to andher chha gaya
din hua to log sare jag uThe
raat aai chand tare jag uThe
din bana hai kaam karne ke liye
raat hai aaram karne ke liye
koi ho insan ya haiwan ho
jaanwar ho ya koi be-jaan ho
raat un ke Dhang hi kuchh aur hain
raat un ke aur hi kuchh taur hain
din hua sab kaam karne lag gae
shab hui aaram karne lag gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.