fasurda raat sitāroñ ke qāfiloñ ko liye
ḳhamosh rāhoñ kī ḳhvābīda mastiyoñ ko salām
na jaane kaun sī manzil ko hai ravāñ kab se
tamām dahr pe sāya-fagan ye raat jise
kiyā hai maiñ ne muqaddar ḳhayāl-e-ġhamgīñ kā
ik ek ashk se rah rah ke jis ko dhoyā hai
udaas udaas surīle surīle naġhmoñ se
ik ek naqsh sañvārā hai jis ke chehre kā
kabhī jo lamha tasavvur se chhū gayā koī
ġham-e-ḳhayāl banā kar samo diyā jis meñ
jo apne saath sitāroñ ke qāfiloñ ko liye
na jaane kaun sī manzil ko hai ravāñ kab se
ye āgahī kā koī ḳhvāb hī na ho varna
nazar pukār uThegī ki ahl-e-fikr-o-ḳhayāl
tamām soch isī raat kā añdherā hai
fasurda raat sitaron ke qafilon ko liye
KHamosh rahon ki KHwabida mastiyon ko salam
na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se
tamam dahr pe saya-fagan ye raat jise
kiya hai main ne muqaddar KHayal-e-ghamgin ka
ek ek ashk se rah rah ke jis ko dhoya hai
udas udas surile surile naghmon se
ek ek naqsh sanwara hai jis ke chehre ka
kabhi jo lamha tasawwur se chhu gaya koi
gham-e-KHayal bana kar samo diya jis mein
jo apne sath sitaron ke qafilon ko liye
na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se
ye aagahi ka koi KHwab hi na ho warna
nazar pukar uThegi ki ahl-e-fikr-o-KHayal
tamam soch isi raat ka andhera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.