raat guzarne wali hai
detā hai ḳhabar anjām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
aur din kā hai paiġhām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
maiñ terī har kal jāntā huuñ kyā kal kal kal kal kartā hai
ab chhoḌ ye kaaf aur laam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
advance meñ paise de denā tauhīn-e-rindī o mastī hai
bil bhej ke lenā daam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
gar ek hī botal baaqī hai aur piine vaale itne haiñ
kar botal ko nīlām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
paisoñ kī to bilkul fikr na kar tanḳhvāh milī aur maiñ ne diye
lā ab to pilā ik jaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
jo bhang pilā.ī thī tū ne us bhang kā nashsha khul na sakā
kuchh misrī aur bādām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
suntā huuñ ki bādal uThe haiñ aur ole paḌne vaale haiñ
ab jald bulā hajjām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
rindoñ ko ġharaz hai piine se whiskey na sahī Tharrā hī sahī
chal jā.egā yuuñ bhī kaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
tū thoḌī thoḌī sab ko pilā varna tire sar aa jā.egā
kanjūsī kā ilzām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
zāhid ko pilā vaa.iz ko pilā mullā ko pilā muftī ko pilā
sab likh le hamāre naam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
deta hai KHabar anjam ki saqi raat guzarne wali hai
aur din ka hai paigham ki saqi raat guzarne wali hai
main teri har kal jaanta hun kya kal kal kal kal karta hai
ab chhoD ye kaf aur lam ki saqi raat guzarne wali hai
adwance mein paise de dena tauhin-e-rindi o masti hai
bil bhej ke lena dam ki saqi raat guzarne wali hai
gar ek hi botal baqi hai aur pine wale itne hain
kar botal ko nilam ki saqi raat guzarne wali hai
paison ki to bilkul fikr na kar tanKHwah mili aur main ne diye
la ab to pila ek jam ki saqi raat guzarne wali hai
jo bhang pilai thi tu ne us bhang ka nashsha khul na saka
kuchh misri aur baadam ki saqi raat guzarne wali hai
sunta hun ki baadal uThe hain aur ole paDne wale hain
ab jald bula hajjam ki saqi raat guzarne wali hai
rindon ko gharaz hai pine se whiskey na sahi Tharra hi sahi
chal jaega yun bhi kaam ki saqi raat guzarne wali hai
tu thoDi thoDi sab ko pila warna tere sar aa jaega
kanjusi ka ilzam ki saqi raat guzarne wali hai
zahid ko pila waiz ko pila mulla ko pila mufti ko pila
sab likh le hamare nam ki saqi raat guzarne wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.