raat
raat kitnī sāhir hai
gard se aTe chehre
baḌh ke thaam letī hai
apne narm hāthoñ meñ
din kā shor kānoñ se
phīke manzar āñkhoñ se
chun ke pheñk detī hai
be-karāñ añdheroñ meñ
muzmahil thake-māñde
laḌkhaḌāte jismoñ ko
baḌh ke thaam letī hai
raat apnī bāñhoñ meñ
raat kitnī māhir hai
jabr aur mashaqqat kī
saḳhtiyāñ bhulāne meñ
dostī nibhāne meñ
be-sukūn zehnoñ ko
loriyāñ sunāne meñ
jāgne sulāne meñ
raat kitnī māhir hai
raat kitnī behis hai
us kī āstīnoñ meñ
kitne saañp palte haiñ
tā-sahar gunāhoñ ke
kaise daur chalte haiñ
raat jaise gūñgī hai
dekhtī hai saarā kuchh
aur kuchh nahīñ kahtī
raat jaise bahrī hai
siskiyāñ nahīñ suntī
hausla nahīñ detī
jin kī kashtiyoñ ko ġham
zabt ke jazīre par
Therne nahīñ detā
jin ko bār-e-bad-baḳhtī
ziist ke samundar meñ
tairne nahīñ detā
reg-e-sāhil-e-shab par
kaise sar paTaḳhte haiñ
raat jaise andhī hai
aasrā nahīñ detī
dost hī nahīñ bantī
raat kitnī behis hai
raat kitni sahir hai
gard se aTe chehre
baDh ke tham leti hai
apne narm hathon mein
din ka shor kanon se
phike manzar aankhon se
chun ke phenk deti hai
be-karan andheron mein
muzmahil thake-mande
laDkhaDate jismon ko
baDh ke tham leti hai
raat apni banhon mein
raat kitni mahir hai
jabr aur mashaqqat ki
saKHtiyan bhulane mein
dosti nibhane mein
be-sukun zehnon ko
loriyan sunane mein
jagne sulane mein
raat kitni mahir hai
raat kitni behis hai
us ki aastinon mein
kitne sanp palte hain
ta-sahar gunahon ke
kaise daur chalte hain
raat jaise gungi hai
dekhti hai sara kuchh
aur kuchh nahin kahti
raat jaise bahri hai
siskiyan nahin sunti
hausla nahin deti
jin ki kashtiyon ko gham
zabt ke jazire par
Therne nahin deta
jin ko bar-e-bad-baKHti
zist ke samundar mein
tairne nahin deta
reg-e-sahil-e-shab par
kaise sar paTaKHte hain
raat jaise andhi hai
aasra nahin deti
dost hi nahin banti
raat kitni behis hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.