kaTtī nahīñ sard raat
Dhaltī nahīñ zard raat
raat judā.ī kī raat
ḳhālī gilāsoñ kī samt
taktī huī aañkh meñ
qatra-e-shabnam nahīñ
kaun lahū meñ bahe
merī ragoñ meñ chale
tez ho sāñsoñ kā shor
jalne lage por por
aa.e samundar meñ josh
gir paḌe dīvār-e-hosh
sūkhī huī shāḳh par
barg o samar khil uThīñ
aao mirī niind kī
bikhrī huī pattiyāñ
aaj sameTo zarā
kab se khulā hai badan
is ko lapeTo zarā
ek shikan do shikan
bistar-e-tanhā.ī par
phir se baḌhā do zarā
mujh ko rulā do zarā
ek pahar raat hai
raat judā.ī kī raat
kaTti nahin sard raat
Dhalti nahin zard raat
raat judai ki raat
KHali gilason ki samt
takti hui aankh mein
qatra-e-shabnam nahin
kaun lahu mein bahe
meri ragon mein chale
tez ho sanson ka shor
jalne lage por por
aae samundar mein josh
gir paDe diwar-e-hosh
sukhi hui shaKH par
barg o samar khil uThin
aao meri nind ki
bikhri hui pattiyan
aaj sameTo zara
kab se khula hai badan
is ko lapeTo zara
ek shikan do shikan
bistar-e-tanhai par
phir se baDha do zara
mujh ko rula do zara
ek pahar raat hai
raat judai ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.