Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat kai dinon se ghaeb thi

Salahuddin Parvez

raat kai dinon se ghaeb thi

Salahuddin Parvez

MORE BYSalahuddin Parvez

    raat ka.ī dinoñ se ġhā.eb thī

    saḳht kohre dabīz sā.atoñ meñ

    halq meñ

    ram ek puurī botal jhoñk ke

    sargent

    raat vigilance pe niklā

    raat ka.ī rātoñ se ġhā.eb thī

    lauTā aaTh ghanTe ke ba.ad

    ḳhālī haath muzmahil niDhāl

    apne ghar

    dekhā raat be libās

    us ke sāmne

    palañg par paḌī huī thī

    gaaḌ rahā thā sūraj

    apnā neza

    us ke ḳhufiya qufl meñ

    bed-rōm khiḌkī ke ek shīshe par

    paanī ek be-rabt lakīr

    dhīre dhīre gir rahī thī

    us ke ḳhālī hāthoñ se hote hue

    us painT ke agle hisse meñ

    aḌe hue qalam ke paas

    saḳht dabīz kohre sā.atoñ meñ

    halq meñ

    ram ek puurī botal jhoñk ke

    sargent

    raat vigilance pe niklā

    raat ka.ī dinoñ se ġhā.eb thī

    raat kai dinon se ghaeb thi

    saKHt kohre ki dabiz saaton mein

    halq mein

    ram ki ek puri botal jhonk ke

    sargent

    raat ki wigilance pe nikla

    raat kai raaton se ghaeb thi

    lauTa aaTh ghanTe ke baad

    KHali hath muzmahil niDhaal sa

    apne ghar

    dekha raat be libas

    us ke samne

    palang par paDi hui thi

    gaD raha tha suraj

    apna neza

    us ke KHufiya qufl mein

    bed-room ki khiDki ke ek shishe par

    pani ki ek be-rabt lakir

    dhire dhire gir rahi thi

    us ke KHali hathon se hote hue

    us ki painT ke agle hisse mein

    aDe hue qalam ke pas

    saKHt dabiz kohre ki saaton mein

    halq mein

    ram ki ek puri botal jhonk ke

    sargent

    raat ki wigilance pe nikla

    raat kai dinon se ghaeb thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now