raat ke bara baje
raat ke koī baara baje hoñge
garmī hai
saḌkoñ pe koī nahīñ
būḌhā darvesh bhī jā chukā hai
us jozāmī bhikāran kī gaaḌī
bhī nazroñ se ojhal hai
rāsta saaf hai
hoTaloñ se nikaltī huī laḌkiyāñ haiñ
na laḌkoñ ke jhurmuT
muñDeroñ par
dil meñ
na dil kā dhḌaknā
na bhūkī nigāheñ
na siiTī
qumqume
gardaneñ taane
chashm-bar-rāh haiñ
koī guzre to gul ho ke
un kā tamāshā kareñ
sarakte sarakte
vo fōtpath se
koī chakkar kī hariyālī par aa jame haiñ
chāñd niklā
to chāroñ ne chillāyā
(sāñp ke muñh se niklā huā jaise piilā chhachhūñdar)
lo chāñd niklā
vo chāñd tanhā hai
ik dard sab ke diloñ meñ pighalne lagā
un kī nazroñ ne bose liye chāñd ke
chāñd kī piiTh ko thapthapāyā
baḌe zor se
josh o mastī ke aalam meñ
shīshe meñ jitnī bachī thī
vo sab baañT kar
qahqahe maar ke
pī ga.e
aur gale mil ke
ik dūsre ko bahut duur tak
chūmte bhī rahe
nāchte nāchte
chāroñ rone lage
har ek ke muñh se niklā
yāro!
maañ yaad aatī hai, jaatā huuñ
maiñ ne taurāt o injīl o qur.ān meñ
yarmiya hājara aur yāqūb
ke karb kī dāstāneñ paḌhī haiñ
un kā ronā sunā hai
aur royā bhī huuñ
aaj bhī ro rahā huuñ
raat ke koi bara baje honge
garmi hai
saDkon pe koi nahin
buDha darwesh bhi ja chuka hai
us jozami bhikaran ki gaDi
bhi nazron se ojhal hai
rasta saf hai
hoTalon se nikalti hui laDkiyan hain
na laDkon ke jhurmuT
munDeron par
dil mein
na dil ka dhDakna
na bhuki nigahen
na siTi
qumqume
gardanen tane
chashm-bar-rah hain
koi guzre to gul ho ke
un ka tamasha karen
sarakte sarakte
wo footpath se
koi chakkar ki hariyali par aa jame hain
chand nikla
to chaaron ne chillaya
(sanp ke munh se nikla hua jaise pila chhachhundar)
lo chand nikla
wo chand tanha hai
ek dard sab ke dilon mein pighalne laga
un ki nazron ne bose liye chand ke
chand ki piTh ko thapthapaya
baDe zor se
josh o masti ke aalam mein
shishe mein jitni bachi thi
wo sab banT kar
qahqahe mar ke
pi gae
aur gale mil ke
ek dusre ko bahut dur tak
chumte bhi rahe
nachte nachte
chaaron rone lage
har ek ke munh se nikla
yaro!
man yaad aati hai, jata hun
main ne tauraat o injil o quran mein
yarmiya hajara aur yaqub
ke karb ki dastanen paDhi hain
un ka rona suna hai
aur roya bhi hun
aaj bhi ro raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.