raat ke paDaw par
raat ne apnī mehrbān bāheñ phailā diiñ
aur siskiyoñ kā javār bhāTā tārīkiyoñ se lipaT gayā
tasvīroñ ko pahchānñe vaale diloñ ke dīpak bujhte ga.e
aur un saarī anjān tasvīroñ ke darmiyān
hairān āñkheñ haiñ
aur siskiyoñ kā javār bhāTā
siskiyāñ jinheñ zindagī ke tavīl dinoñ ne panāh na dī
aur kirnoñ par bhāgte hue
kisī ne nahīñ sochā
nasheb meñ ghāTiyoñ ke darmiyān raat Thahartī hai
kam aql musāfir qadmoñ kī samajh meñ na aayā
ki zindagī charindoñ aur hadd-e-nigāh tak phailī ghaas kā muāhida nahīñ hai
āvāz kī samteñ muta.ayyan ho ga.iiñ
aur taqlīd ke aaseb lafzoñ ke pāk-dāman sayyāroñ ko rauñdte chale ga.e
anthak mehnatoñ kī samajh meñ kuchh na aayā
yahāñ tak ki soch kī sunahrī raushaniyāñ thak kar gir paḌeñ
nasheb aur nasheb kī jānib
junūn kā nasheb
jahāñ raat Thahartī hai
aur pur-asrāriyat kā sāneha
jahāñ sarāboñ ke asrār khul ga.e
aur jahāñ musāfir qadmoñ aur anthak mehnatoñ aur siskiyoñ ke javār bhāTā kī dostī hai
ye raat kā paḌāv hai jahāñ
āñkhoñ kī tamām an-ginat saḌkeñ
ḳhudā hāfiz kī bhuul bhulayyoñ meñ gum ho jaatī haiñ
raat ne apni mehrban bahen phaila din
aur siskiyon ka jawar bhaTa tarikiyon se lipaT gaya
taswiron ko pahchanne wale dilon ke dipak bujhte gae
aur un sari anjaan taswiron ke darmiyan
hairan aankhen hain
aur siskiyon ka jawar bhaTa
siskiyan jinhen zindagi ke tawil dinon ne panah na di
aur kirnon par bhagte hue
kisi ne nahin socha
nasheb mein ghaTiyon ke darmiyan raat Thaharti hai
kam aql musafir qadmon ki samajh mein na aaya
ki zindagi charindon aur hadd-e-nigah tak phaili ghas ka muahida nahin hai
aawaz ki samten mutayyan ho gain
aur taqlid ke aaseb lafzon ke pak-daman sayyaron ko raundte chale gae
anthak mehnaton ki samajh mein kuchh na aaya
yahan tak ki soch ki sunahri raushaniyan thak kar gir paDen
nasheb aur nasheb ki jaanib
junun ka nasheb
jahan raat Thaharti hai
aur pur-asrariyat ka saneha
jahan sarabon ke asrar khul gae
aur jahan musafir qadmon aur anthak mehnaton aur siskiyon ke jawar bhaTa ki dosti hai
ye raat ka paDaw hai jahan
aankhon ki tamam an-ginat saDken
KHuda hafiz ki bhul bhulayyon mein gum ho jati hain
- Book : Andekhi Lahren(rekhta website) (Pg. 131)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.