raat ki aankh mein nam
sahar ke agar aise lamhāt meñ jāgte ho
sitāre bhī jab uuñgh jaa.eñ
agar dūdhiyā chāñdnī ke javāñ jism kī maut dekhe hue ho
agar soch meñ sar khujāte daraḳhtoñ kī
vīrāñ pur-asrār tanhā.iyoñ biich
pichhle sitāre kī chhāñv tale
gaam do gaam
soī huī sā.atoñ meñ
chale ho
to tum ham se ho
tum magar tab kahāñ the
sidhārat ne jab āḳhirī raat meñ
do sitāroñ ke māthoñ pe bosa diyā
aur āfāq meñ kho gayā
duur sadiyoñ kī pahnā.ī par
maiñ jo hairāñ khaḌā dekhtā thā
akelā ka.ī qarn rotā rahā huuñ
sahar ke agar aise lamhat mein jagte ho
sitare bhi jab ungh jaen
agar dudhiya chandni ke jawan jism ki maut dekhe hue ho
agar soch mein sar khujate daraKHton ki
viran pur-asrar tanhaiyon bich
pichhle sitare ki chhanw tale
gam do gam
soi hui saaton mein
chale ho
to tum hum se ho
tum magar tab kahan the
sidhaarat ne jab aaKHiri raat mein
do sitaron ke mathon pe bosa diya
aur aafaq mein kho gaya
dur sadiyon ki pahnai par
main jo hairan khaDa dekhta tha
akela kai qarn rota raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.