mirī dahlīz par baiThī huī zaanū pe sar rakkhe
ye shab afsos karne aa.ī hai ki mere ghar pe
aaj hī jo mar gayā hai din
vo din ham-zād thā us kā
vo aa.ī hai ki mere ghar meñ is ko dafn kar ke
ik diyā dahlīz par rakh kar
nishānī chhoḌ de ki mahv hai ye qabr
is meñ dūsrā aa kar nahīñ leTe
maiñ shab ko kaise batlā.ūñ
bahut se din mire āñgan meñ yuuñ aadhe adhūre se
kafan oḌhe paḌe haiñ kitne sāloñ se
jinheñ maiñ aaj tak dafnā nahīñ paayā
meri dahliz par baiThi hui zanu pe sar rakkhe
ye shab afsos karne aai hai ki mere ghar pe
aaj hi jo mar gaya hai din
wo din ham-zad tha us ka
wo aai hai ki mere ghar mein is ko dafn kar ke
ek diya dahliz par rakh kar
nishani chhoD de ki mahw hai ye qabr
is mein dusra aa kar nahin leTe
main shab ko kaise batlaun
bahut se din mere aangan mein yun aadhe adhure se
kafan oDhe paDe hain kitne salon se
jinhen main aaj tak dafna nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.