raat
raat hamārī maañ jaisī hai
niiñd hamārī aañkh meñ rakh kar
mīThe mīThe ḳhvāb dikhā.e
duur kahīñ le kar uḌ jaa.e
des-bides kī sair karā.e
rañg-birañge halke bādal
bādal andar bajtī paa.el
chham-chham kartī buuñd girā.e
buuñd buuñd meñ phuul khilā.e
phuul phuul meñ ḳhushbū mahke
ḳhushbū mahke duniyā lahke
duniyā lahke giit sunā.e
giit sune to pariyāñ aa.eñ
pyāre pyāre par phailā.eñ
par phaile to niiñd suhānī
mamtā kā āñchal lahrā.e
din bhar kā dukh dard miTā.e
na.ī navelī sub.h dikhā.e
dekhā raat bhalī kaisī hai
bilkul apnī maañ jaisī hai
raat hamari man jaisi hai
nind hamari aankh mein rakh kar
miThe miThe KHwab dikhae
dur kahin le kar uD jae
des-bides ki sair karae
rang-birange halke baadal
baadal andar bajti pael
chham-chham karti bund girae
bund bund mein phul khilae
phul phul mein KHushbu mahke
KHushbu mahke duniya lahke
duniya lahke git sunae
git sune to pariyan aaen
pyare pyare par phailaen
par phaile to nind suhani
mamta ka aanchal lahrae
din bhar ka dukh dard miTae
nai naweli subh dikhae
dekha raat bhali kaisi hai
bilkul apni man jaisi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.