aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat

Daud Ghazi

raat

Daud Ghazi

MORE BYDaud Ghazi

    raat ke añdhere meñ kitne paap palte haiñ

    pūchhtā phire koī kis se kaun paapī hai

    pūchhne se kyā hāsil pūchhne se kyā hogā

    mahshar ik bapā hogā shor-e-nāravā hogā

    dard kam to kyā hogā aur kuchh sivā hogā

    kaun kis suntā hai kis ko itnī fursat hai

    dād-ḳhvāh banñā bhī fe.al-e-be-fazīlat hai

    daad samm-e-qātil hai marnā kis ko bhātā hai

    taur-e-zindagī sāhab raat nirālā hai

    raat ke añdhere meñ kitne paap palte haiñ

    kitne saañp palte haiñ chaar uchhalte haiñ

    chheḌiye to phuñkāreñ chhoḌiye to Daste haiñ

    DhiiT ban ke phirte haiñ saañp kis se Darte haiñ

    log Darte phirte haiñ log bachte phirte haiñ

    ḳhāmushī ke ġhāroñ meñ ḳhāmushī se chhupte haiñ

    ek dūsre muñh bebasī se takte haiñ

    sham.a ik jalāne par kaisī kaisī pābandī

    nuur par bhī pābandī tuur par bhī pābandī

    sau tarah pābandī sham.a kaise jal paa.e

    kis meñ itnī jur.at hai maut se ulajh jaa.e

    yaas dil se kahtī hai maslahat baḌī shai hai

    maslahat isī meñ hai qufl Dāliye lab par

    josh laakh bahlā.e kuchh na lā.iye lab par

    yaas ek buḌhiyā hai tajarbe se kahtī hai

    yaas ek buḌhiyā hai log qadr karte haiñ

    log qadr karte haiñ maslahat isī meñ hai

    maslahat pe chalte haiñ ḳhairiyat isī meñ hai

    raat baḌhtī jaatī hai raat baḌhtī jaatī hai

    raat ke añdhere meñ kuchh nahīñ aatā

    raat baḌhtī jaatī hai hosh baḌhtā jaatā hai

    dard baḌhtā jaatā hai josh baḌhtā jaatā hai

    raat ke añdhere meñ kuchh nazar nahīñ aatā

    tīrgī nazar meñ hai dil haal dil meñ hai

    dil ke laakh goshoñ meñ laakh sham.eñ jaltī haiñ

    maslahat zanjīreñ dam-ba-dam pighaltī haiñ

    dam-ba-dam ḳhamoshī se raat ke añdhere meñ

    raat baḌhtī jaatī hai raat kaTtī jaatī hai

    raat ke añdhere meñ kuchh nazar nahīñ aatā

    raat ke andhere mein kitne pap palte hain

    puchhta phire koi kis se kaun papi hai

    puchhne se kya hasil puchhne se kya hoga

    mahshar ek bapa hoga shor-e-narawa hoga

    dard kam to kya hoga aur kuchh siwa hoga

    kaun kis ki sunta hai kis ko itni fursat hai

    dad-KHwah banna bhi feal-e-be-fazilat hai

    dad samm-e-qatil hai marna kis ko bhata hai

    taur-e-zindagi sahab raat ka nirala hai

    raat ke andhere mein kitne pap palte hain

    kitne sanp palte hain chaar su uchhalte hain

    chheDiye to phunkaren chhoDiye to Daste hain

    DhiT ban ke phirte hain sanp kis se Darte hain

    log Darte phirte hain log bachte phirte hain

    KHamushi ke ghaaron mein KHamushi se chhupte hain

    ek dusre ka munh bebasi se takte hain

    shama ek jalane par kaisi kaisi pabandi

    nur par bhi pabandi tur par bhi pabandi

    sau tarah ki pabandi shama kaise jal pae

    kis mein itni jurat hai maut se ulajh jae

    yas dil se kahti hai maslahat baDi shai hai

    maslahat isi mein hai qufl Daliye lab par

    josh lakh bahlae kuchh na laiye lab par

    yas ek buDhiya hai tajarbe se kahti hai

    yas ek buDhiya hai log qadr karte hain

    log qadr karte hain maslahat isi mein hai

    maslahat pe chalte hain KHairiyat isi mein hai

    raat baDhti jati hai raat baDhti jati hai

    raat ke andhere mein kuchh nahin aata

    raat baDhti jati hai hosh baDhta jata hai

    dard baDhta jata hai josh baDhta jata hai

    raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata

    tirgi nazar mein hai dil ka haal dil mein hai

    dil ke lakh goshon mein lakh shamen jalti hain

    maslahat ki zanjiren dam-ba-dam pighalti hain

    dam-ba-dam KHamoshi se raat ke andhere mein

    raat baDhti jati hai raat kaTti jati hai

    raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata

    Source:

    Waqt Ki Sadiyan (Pg. 74)

    • Author: Daud Ghazi
      • Publisher: Kokan Urdu Writers Guild, Kenya
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now