ek bar kaho tum meri ho
ham ghuum chuke bastī ban meñ
ik aas kī phāñs liye man meñ
koī sājan ho koī pyārā ho
koī dīpak ho, koī taarā ho
jab jīvan raat añdherī ho
ik baar kaho tum merī ho
jab sāvan bādal chhā.e hoñ
jab phāgun phuul khilā.e hoñ
jab chandā ruup luTātā ho
jab sūraj dhuup nahātā ho
yā shaam ne bastī gherī ho
ik baar kaho tum merī ho
haañ dil kā dāman phailā hai
kyuuñ gorī kā dil mailā hai
ham kab tak piit ke dhoke meñ
tum kab tak duur jharoke meñ
kab diid se dil ko serī ho
ik baar kaho tum merī ho
kyā jhagḌā suud ḳhasāre kā
ye kaaj nahīñ banjāre kā
sab sonā ruupā le jaa.e
sab duniyā, duniyā le jaa.e
tum ek mujhe bahuterī ho
ik baar kaho tum merī ho
hum ghum chuke basti ban mein
ek aas ki phans liye man mein
koi sajan ho koi pyara ho
koi dipak ho, koi tara ho
jab jiwan raat andheri ho
ek bar kaho tum meri ho
jab sawan baadal chhae hon
jab phagun phul khilae hon
jab chanda rup luTata ho
jab suraj dhup nahata ho
ya sham ne basti gheri ho
ek bar kaho tum meri ho
han dil ka daman phaila hai
kyun gori ka dil maila hai
hum kab tak pit ke dhoke mein
tum kab tak dur jharoke mein
kab did se dil ko seri ho
ek bar kaho tum meri ho
kya jhagDa sud KHasare ka
ye kaj nahin banjare ka
sab sona rupa le jae
sab duniya, duniya le jae
tum ek mujhe bahuteri ho
ek bar kaho tum meri ho
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.