intizar
chāñd maddham hai āsmāñ chup hai
niiñd kī god meñ jahāñ chup hai
duur vaadī meñ dūdhiyā bādal
jhuk ke parbat ko pyaar karte haiñ
dil meñ nākām hasrateñ le kar
ham tirā intizār karte haiñ
in bahāroñ ke saa.e meñ aa jā
phir mohabbat javāñ rahe na rahe
zindagī tere nā-murādoñ par
kal talak mehrbāñ rahe na rahe!
roz kī tarah aaj bhī taare
sub.h kī gard meñ na kho jaa.eñ
aa tire ġham meñ jāgtī āñhkeñ
kam se kam ek raat so jaa.eñ
chāñd maddham hai āsmāñ chup hai
niiñd kī god meñ jahāñ chup hai
chand maddham hai aasman chup hai
nind ki god mein jahan chup hai
dur wadi mein dudhiya baadal
jhuk ke parbat ko pyar karte hain
dil mein nakaam hasraten le kar
hum tera intizar karte hain
in bahaaron ke sae mein aa ja
phir mohabbat jawan rahe na rahe
zindagi tere na-muradon par
kal talak mehrban rahe na rahe!
roz ki tarah aaj bhi tare
subh ki gard mein na kho jaen
aa tere gham mein jagti aanhken
kam se kam ek raat so jaen
chand maddham hai aasman chup hai
nind ki god mein jahan chup hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.