raat sunsan hai
mez chup-chāp ghaḌī band kitābeñ ḳhāmosh
apne kamre kī udāsī pe taras aatā hai
merā kamra jo mire dil kī har ik dhaḌkan ko
sāl-hā-sāl se chup-chāp gine jaatā hai
johd-e-hastī kī kaḌī dhuup meñ thak jaane par
jis kī āġhosh ne baḳhshā hai mujhe maañ kā ḳhulūs
jis kī ḳhāmosh ināyat kī suhānī yādeñ
loriyāñ ban ke mire dil meñ samā jaatī haiñ
merī tanhā.ī ke ehsās ko zaa.il karne
jis kī dīvāreñ mire paas chalī aatī haiñ
sāmne taaq pe rakkhī huī do tasvīreñ
aksar auqāt mujhe pyaar se yuuñ taktī haiñ
jaise maiñ duur kisī des kā shahzāda huuñ
merā kamra mire maazī kā haqīqī mūnis
aaj har fikr har ehsās se begāna hai
apne hamrāz kivāḌoñ ke ahāte ke evaz
aaj maiñ jaise mazāroñ pe chalā aayā huuñ
gard-ālūda calendar pe ajantā ke nuqūsh
mere chehre kī lakīroñ kī taraf dekhte haiñ
jaise ik laash kī phailī huī be-bas āñkheñ
apne majbūr azīzoñ ko takā kartī haiñ
ye kitābeñ bhī mirā saath nahīñ detīñ aaj
'keats' kī nazm 'arastū' ke hakīmāna qaul
sañg-marmar kī imārat kī tarah sākit haiñ
tū hī kuchh baat kar ai mere dhaḌakte hue dil
tū hī ik merā sahārā hai mirā mūnis hai
tū hī is sard añdhere meñ charāġhāñ kar de
laxmī-devī to mirī baat nahīñ sun saktīñ
mujh ko ma.alūm hai kyā biit chukī hai tujh par
mere chehre ke sulagte hue zaḳhmoñ ko bhī dekh
merī āñkhoñ pe mirī fikr pe pābandī hai
maiñ use chāhūñ bhī to yaad nahīñ kar saktā
tū use kho ke machal saktā hai ro saktā hai
aur maiñ luT ke bhī fariyād nahīñ kar saktā
isī ā.īne ne dekhe haiñ hamāre jhagḌe
yahī ziina hai jahāñ maiñ ne use chūmā thā
in qamīzoñ meñ in uljhe hue rumāloñ meñ
us ke bāloñ kī mahak aaj bhī āsūda hai
jo kabhī merī thī inkār pe bhī merī thī
ab faqat bazm-e-tasavvur meñ nazar aatī hai
raat bhar jaag ke likkhī huī tahrīroñ se
ab bhī un āñkhoñ kī tasvīr ubhar aatī hai
chāñdnī khul ke nikhar aa.ī hai darvāze par
os se bhīgte jaate haiñ purāne gamle
kis qadar narm hai kaliyoñ kā suhānā saaya
jaise vo hoñT jinheñ pā ke bhī maiñ pā na sakā
ai taḌapte hue dil aur sambhal aur sambhal
ye tirī chaap se jaag uTTheñgī to kyā hogā
sub.h kyā jaane kahāñ hotī hai kab hotī hai
jaane insān ne kis vaqt ye ne.amat paa.ī
merī qismat meñ bas ik silsila-e-shām-o-sahar
mere kamre ke muqaddar meñ faqat tanhā.ī
mez chup-chap ghaDi band kitaben KHamosh
apne kamre ki udasi pe taras aata hai
mera kamra jo mere dil ki har ek dhaDkan ko
sal-ha-sal se chup-chap gine jata hai
johd-e-hasti ki kaDi dhup mein thak jaane par
jis ki aaghosh ne baKHsha hai mujhe man ka KHulus
jis ki KHamosh inayat ki suhani yaaden
loriyan ban ke mere dil mein sama jati hain
meri tanhai ke ehsas ko zail karne
jis ki diwaren mere pas chali aati hain
samne taq pe rakkhi hui do taswiren
aksar auqat mujhe pyar se yun takti hain
jaise main dur kisi des ka shahzada hun
mera kamra mere mazi ka haqiqi munis
aaj har fikr har ehsas se begana hai
apne hamraaz kiwaDon ke ahate ke ewaz
aaj main jaise mazaron pe chala aaya hun
gard-aluda calendar pe ajanta ke nuqush
mere chehre ki lakiron ki taraf dekhte hain
jaise ek lash ki phaili hui be-bas aankhen
apne majbur azizon ko taka karti hain
ye kitaben bhi mera sath nahin detin aaj
'keats' ki nazm 'arastu' ke hakimana qaul
sang-marmar ki imarat ki tarah sakit hain
tu hi kuchh baat kar ai mere dhaDakte hue dil
tu hi ek mera sahaara hai mera munis hai
tu hi is sard andhere mein charaghan kar de
laxmi-dewi to meri baat nahin sun saktin
mujh ko malum hai kya bit chuki hai tujh par
mere chehre ke sulagte hue zaKHmon ko bhi dekh
meri aankhon pe meri fikr pe pabandi hai
main use chahun bhi to yaad nahin kar sakta
tu use kho ke machal sakta hai ro sakta hai
aur main luT ke bhi fariyaad nahin kar sakta
isi aaine ne dekhe hain hamare jhagDe
yahi zina hai jahan main ne use chuma tha
in qamizon mein in uljhe hue rumalon mein
us ke baalon ki mahak aaj bhi aasuda hai
jo kabhi meri thi inkar pe bhi meri thi
ab faqat bazm-e-tasawwur mein nazar aati hai
raat bhar jag ke likkhi hui tahriron se
ab bhi un aankhon ki taswir ubhar aati hai
chandni khul ke nikhar aai hai darwaze par
os se bhigte jate hain purane gamle
kis qadar narm hai kaliyon ka suhana saya
jaise wo honT jinhen pa ke bhi main pa na saka
ai taDapte hue dil aur sambhal aur sambhal
ye teri chap se jag uTThengi to kya hoga
subh kya jaane kahan hoti hai kab hoti hai
jaane insan ne kis waqt ye neamat pai
meri qismat mein bas ek silsila-e-sham-o-sahar
mere kamre ke muqaddar mein faqat tanhai
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(shahr-e-aazar) (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.