raaton ko
āñkhoñ meñ koī bas jaatā hai
mīThī sī hañsī hans jaatā hai
ehsās kī lahreñ un tārīk jazīroñ se Takrātī haiñ
jahāñ naġhme pañkh sañvārte haiñ
sangīn fasīloñ ke gumbad se pahre-dār pukārte haiñ
kyā kartā hai
dil Dartā hai
dil Dartā hai in kaalī akelī rātoñ se dil Dartā hai
in suunī tanhā rātoñ meñ
dil Duub ke guzrī bātoñ meñ
jab sochtā hai kyā dekhtā hai har samt dhueñ kā
bādal hai vādī-o-bayābāñ jal-thal hai
zaḳhḳhār samundar sūkhe haiñ pur-haul chaTāneñ pighlī haiñ
dhartī ne TūTte tāroñ kī jaltī huī lāsheñ niglī haiñ
pehnā-e-zamāñ ke siine par ik mauj añgḌā.ī letī hai
is āb-o-gil kī daldal meñ ik chaap sunā.ī detī hai
ik thirkan sī ik dhaḌkan sī āfāq kī Dhalvānoñ meñ kahīñ
tāneñ jo humak kar miltī haiñ chal paḌtī haiñ ruktī hī nahīñ
in rāgniyoñ ke bhañvar bhañvar meñ sad.hā sadiyoñ ghuum ga.iiñ
in qarn-ālūd masāfat meñ laakh aable phūTe diip bujhe
aur aaj kise mālūm zamīr-e-hastī kā āhañg-e-tapāñ
kis duur ke des ke kuhroñ meñ larzāñ larzāñ raqsāñ raqsāñ
is saañs kī rau tak pahuñchā hai
is merī mez kī jaltī huī qindīl kī lau tak pahuñchā hai
kaun aayā hai kaun aatā hai kaun aa.egā
an-jāne man kī mūrakhtā ko kyā kyā dhyān guzartā hai
dil Dartā hai
dil Dartā hai un kaalī akelī rātoñ se dil Dartā hai
aankhon mein koi bas jata hai
miThi si hansi hans jata hai
ehsas ki lahren un tarik jaziron se Takraati hain
jahan naghme pankh sanwarte hain
sangin fasilon ke gumbad se pahre-dar pukarte hain
kya karta hai
dil Darta hai
dil Darta hai in kali akeli raaton se dil Darta hai
in suni tanha raaton mein
dil Dub ke guzri baaton mein
jab sochta hai kya dekhta hai har samt dhuen ka
baadal hai wadi-o-bayaban jal-thal hai
zaKHKHar samundar sukhe hain pur-haul chaTanen pighli hain
dharti ne TuTte taron ki jalti hui lashen nigli hain
pehna-e-zaman ke sine par ek mauj angDai leti hai
is aab-o-gil ki daldal mein ek chap sunai deti hai
ek thirkan si ek dhaDkan si aafaq ki Dhalwanon mein kahin
tanen jo humak kar milti hain chal paDti hain rukti hi nahin
in ragniyon ke bhanwar bhanwar mein sadha sadiyon ghum gain
in qarn-alud masafat mein lakh aable phuTe dip bujhe
aur aaj kise malum zamir-e-hasti ka aahang-e-tapan
kis dur ke des ke kuhron mein larzan larzan raqsan raqsan
is sans ki rau tak pahuncha hai
is meri mez ki jalti hui qindil ki lau tak pahuncha hai
kaun aaya hai kaun aata hai kaun aaega
an-jaane man ki murakhta ko kya kya dhyan guzarta hai
dil Darta hai
dil Darta hai un kali akeli raaton se dil Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.